shair
ai mire shahr ke shā.iro
mat likho
ab qasīda koī husn-e-mahbūb par
fātiha bhej do aise maktūb par
aisī nazmoñ kā kyā fā.eda jis meñ mazlūm dil kī sadā.eñ na hoñ
aise she'roñ meñ kyā soz ho jis meñ maqtūl logoñ kī aa.heñ na hoñ
ai mire shahr ke shā.iro
likhnā chāho agar
aao nauha likho
ġham kī uftād par
shahr-e-fariyād par
apne kirdār se
parda-e-vaqt par
ek nauha likho
un parindoñ pe jin ko daraḳhtoñ se bejā uḌāyā gayā
ek nauha likho
un charāġhoñ pe bhī jin ko bujhne se pahle bujhāyā gayā
shā.iro
tum vahī ho ki jin se larazte rahe zālimoñ ke qadam
misl-e-shamshīr-e-'uryāñ rahā hai hamesha tumhārā qalam
jot lo harf-e-iz.hār kī khetiyāñ sub.h-dam
baḌh ke tum hī uThā lo nā haq kā 'alam
aur nauha likho
āh-e-mazlūm kā
shakl-e-maġhmūm kā
maiñ nahīñ chāhtā
aane vaalā zamāna tumhārī ḳhamoshī pe lā'nat kare
aur malāmat kare
ai mere shahr ke shairo
mat likho
ab qasida koi husn-e-mahbub par
fatiha bhej do aise maktub par
aisi nazmon ka kya faeda jis mein mazlum dil ki sadaen na hon
aise she'ron mein kya soz ho jis mein maqtul logon ki aahen na hon
ai mere shahr ke shairo
likhna chaho agar
aao nauha likho
gham ki uftad par
shahr-e-fariyaad par
apne kirdar se
parda-e-waqt par
ek nauha likho
un parindon pe jin ko daraKHton se beja uDaya gaya
ek nauha likho
un charaghon pe bhi jin ko bujhne se pahle bujhaya gaya
shairo
tum wahi ho ki jin se larazte rahe zalimon ke qadam
misl-e-shamshir-e-'uryan raha hai hamesha tumhaara qalam
jot lo harf-e-izhaar ki khetiyan subh-dam
baDh ke tum hi uTha lo na haq ka 'alam
aur nauha likho
aah-e-mazlum ka
shakl-e-maghmum ka
main nahin chahta
aane wala zamana tumhaari KHamoshi pe la'nat kare
aur malamat kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.