shaer aur masKHare
hamāre yahāñ aam taur par
har mauqe par
shā.er aur masḳhare
ek jaisī kursiyoñ par baiThte haiñ
aur kursiyoñ tak aane ke liye
ek hī rāste se guzarte haiñ
aur is rāste se pahle
ek hī ziine upar chaḌhte haiñ
shā.er aur masḳhare saath saath chalte haiñ
chalte chalte masḳhara zor zor se hañstā hai
shā.er rotā hai aur ham
donoñ kī āvāzeñ saath saath sunte haiñ
aur bhuul jaate haiñ dhyān hī nahīñ dete
is baat par ki in meñ se
shā.er kī āvāz kaun sī hai aur masḳhare kī kaun sī
aur is baat par ki hameñ
masḳhare kī hañsī par tavajjoh denī chāhiye
yā shā.er ke āñsuoñ par
aur is baat par ki hameñ
shā.iroñ masḳharoñ aur kursiyoñ meñ
koī farq mahsūs nahīñ hotā
hamare yahan aam taur par
har mauqe par
shaer aur masKHare
ek jaisi kursiyon par baiThte hain
aur kursiyon tak aane ke liye
ek hi raste se guzarte hain
aur is raste se pahle
ek hi zine upar chaDhte hain
shaer aur masKHare sath sath chalte hain
chalte chalte masKHara zor zor se hansta hai
shaer rota hai aur hum
donon ki aawazen sath sath sunte hain
aur bhul jate hain dhyan hi nahin dete
is baat par ki in mein se
shaer ki aawaz kaun si hai aur masKHare ki kaun si
aur is baat par ki hamein
masKHare ki hansi par tawajjoh deni chahiye
ya shaer ke aansuon par
aur is baat par ki hamein
shairon masKHaron aur kursiyon mein
koi farq mahsus nahin hota
- Book : saarii nazmen (Pg. 280)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.