shaer log
Interesting Fact
qufqaaz ke shaa.er 'qaasan-qulii'' se maaKHuuz
har ik daur meñ har zamāne meñ ham
zahr piite rahe, giit gaate rahe
jaan dete rahe zindagī ke liye
sā.at-e-vasl kī sarḳhushī ke liye
diin o duniyā kī daulat luTāte rahe
faqr-o-fāqa kā tosha sambhāle hue
jo bhī rasta chunā us pe chalte rahe
maal vaale haqārat se takte rahe
ta.an karte rahe haath malte rahe
ham ne un par kiyā harf-e-haq sañg-zan
jin kī haibat se duniyā laraztī rahī
jin pe aañsū bahāne ko koī na thā
apnī aañkh un ke ġham meñ barastī rahī
sab se ojhal hue hukm-e-hākim pe ham
qaid-ḳhāne sahe, tāziyāne sahe
log sunte rahe sāz-e-dil kī sadā
apne naġhme salāḳhoñ se chhante rahe
ḳhūñ-chakāñ dahr kā ḳhūñ-chakāñ ā.īna
dukh-bharī ḳhalq kā dukh-bharā dil haiñ ham
tab.a-e-shā.er hai jañgāh-e-adl-o-sitam
munsif-e-ḳhair-o-shar haqq-o-bātil haiñ ham
har ek daur mein har zamane mein hum
zahr pite rahe, git gate rahe
jaan dete rahe zindagi ke liye
saat-e-wasl ki sarKHushi ke liye
din o duniya ki daulat luTate rahe
faqr-o-faqa ka tosha sambhaale hue
jo bhi rasta chuna us pe chalte rahe
mal wale haqarat se takte rahe
tan karte rahe hath malte rahe
hum ne un par kiya harf-e-haq sang-zan
jin ki haibat se duniya larazti rahi
jin pe aansu bahane ko koi na tha
apni aankh un ke gham mein barasti rahi
sab se ojhal hue hukm-e-hakim pe hum
qaid-KHane sahe, taziyane sahe
log sunte rahe saz-e-dil ki sada
apne naghme salaKHon se chhante rahe
KHun-chakan dahr ka KHun-chakan aaina
dukh-bhari KHalq ka dukh-bhara dil hain hum
taba-e-shaer hai jangah-e-adl-o-sitam
munsif-e-KHair-o-shar haqq-o-baatil hain hum
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 627)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.