shaer
jhūThe shā.er ye ġhaur se sun leñ
shā.irī sab ke bas kī baat nahīñ
ye vo ilhām hai ke jis ke liye
rab hī chuntā hai apne bandoñ meñ
aise bandoñ ko jin ke siine meñ
dard hotā hai saare aalam kā
jo mohabbat kī baat karte haiñ
jo uḳhuvvat kī baat karte haiñ
jo sadāqat kī baat karte haiñ
zulm ke sāmne khaḌe ho kar
jo baġhāvat kī baat karte haiñ
muflisoñ aur ġham ke māroñ kī
jo himāyat kī baat karte haiñ
nā-ummīdī ke ghup añdheroñ meñ
jo diye aas ke jalāte haiñ
buġhz rakhte nahīñ jo siine meñ
dushmanoñ ko gale lagāte haiñ
saare aalam meñ amn kī ḳhātir
rāt-din ḳhūn-e-dil jalāte haiñ
jin ko shohrat kī aas hotī nahīñ
jin ko daulat kī aas hotī nahīñ
shān-o-shaukat kī aas hotī nahīñ
jo qalandar kī tarah jiite haiñ
jo faqīroñ kī tarah rah kar bhī
bādshāhoñ kī tarah jiite haiñ
jhūThe shā.er ye ġhaur se sun leñ
shā.ir-e-be-navā ke siine par
sher utarte haiñ āyatoñ kī tarah
jhuThe shaer ye ghaur se sun len
shairi sab ke bas ki baat nahin
ye wo ilham hai ke jis ke liye
rab hi chunta hai apne bandon mein
aise bandon ko jin ke sine mein
dard hota hai sare aalam ka
jo mohabbat ki baat karte hain
jo uKHuwwat ki baat karte hain
jo sadaqat ki baat karte hain
zulm ke samne khaDe ho kar
jo baghawat ki baat karte hain
muflison aur gham ke maron ki
jo himayat ki baat karte hain
na-ummidi ke ghup andheron mein
jo diye aas ke jalate hain
bughz rakhte nahin jo sine mein
dushmanon ko gale lagate hain
sare aalam mein amn ki KHatir
raat-din KHun-e-dil jalate hain
jin ko shohrat ki aas hoti nahin
jin ko daulat ki aas hoti nahin
shan-o-shaukat ki aas hoti nahin
jo qalandar ki tarah jite hain
jo faqiron ki tarah rah kar bhi
baadshahon ki tarah jite hain
jhuThe shaer ye ghaur se sun len
shair-e-be-nawa ke sine par
sher utarte hain aayaton ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.