shaeraat aur shair mein kabaDDi
uktā chuke the lagtā hai apnī hayāt se
shā.ir kabaDDī khel ga.e shā.erāt se
nau-mashq kohna-mashq javāñ-fikr shā.erāt
qurbān jin pe hote the maf.ūl fā.ilāt
aur dūsrī taraf the sabhī fan ke hoshiyār
lekin is hādse ne kiyā un ko sharmsār
shā.ir jo shā.erāt kī paalī kī had meñ thā
dauḌā ke shā.erāt ne us ko pakaḌ liyā
hāthoñ meñ shā.erāt ke phañs kar akaḌ gayā
lo shā.ir-e-jadīd kā misrā sukaḌ gayā
aa.e kabaDDī bolne shā.ir buzurgvār
pahle hī jin kā dāman-e-hasrat thā taar taar
the majmūe janāb ke ġhamnāk ashk-bār
public ne jin ko hoot kiyā thā hazār baar
phir shā.era ne dast-e-hinā.ī chakhā diye
in shā.ir-e-buzurg ke chhakke chhuḌā diye
paalī meñ shā.erāt kī tū tū kī luuT thī
ḳhālis ġhazal ke shāi.r-e-āzam ko chhūT thī
lekin ġhazal ke sher samajh ke vo uḌ ga.e
āḳhir janāb paalī ke pīchhe pakaḌ ga.e
lo mashq-e-shā.era bhī ga.ī phūñk mārne
ukhḌī jo saañs lag ga.ī zulfeñ sañvārne
ik shā.ir-e-jadīd ne chāhā dabochnā
us shā.era ne kar diyā start nochnā
dekhā jo dūsrī ne to himmat baTor kar
aafat se ban ke chhā ga.ī pairoñ ko joḌ kar
phir referē kā kaam yahāñ end ho gayā
do party ke biich bachāv meñ kho gayā
sab shā.eqīn-e-sher-o-adab bhāgne lage
sun sun ke shor sote hue jāgne lage
shā.ir the un kā haal bhī ho kar rahā ajiib
qismat pe apnī rotā rahā shā.ir-e-ġharīb
kitnī qamīz phaT ga.iiñ patlūn phaT ga.e
puure badan kahīñ na kahīñ se simaT ga.e
ghabrā ke ol-fol bhī bakne lage janāb
un se kabaDDī khel ke izzat huī ḳharāb
sab ne qasam ye khaa.ī ki ab saarī zindagī
janjāl meñ phañsī huī hogī na shā.erī
ai 'shaiḳh' shā.erī to sharāfat se kījiye
ye ḳhidmat-e-adab hai liyāqat se kījiye
ukta chuke the lagta hai apni hayat se
shair kabaDDi khel gae shaeraat se
nau-mashq kohna-mashq jawan-fikr shaeraat
qurban jin pe hote the maful failat
aur dusri taraf the sabhi fan ke hoshiyar
lekin is hadse ne kiya un ko sharmsar
shair jo shaeraat ki pali ki had mein tha
dauDa ke shaeraat ne us ko pakaD liya
hathon mein shaeraat ke phans kar akaD gaya
lo shair-e-jadid ka misra sukaD gaya
aae kabaDDi bolne shair buzurgwar
pahle hi jin ka daman-e-hasrat tha tar tar
the majmue janab ke ghamnak ashk-bar
public ne jin ko hoot kiya tha hazar bar
phir shaera ne dast-e-hinai chakha diye
in shair-e-buzurg ke chhakke chhuDa diye
pali mein shaeraat ki tu tu ki luT thi
KHalis ghazal ke shair-e-azam ko chhuT thi
lekin ghazal ke sher samajh ke wo uD gae
aaKHir janab pali ke pichhe pakaD gae
lo mashq-e-shaera bhi gai phunk marne
ukhDi jo sans lag gai zulfen sanwarne
ek shair-e-jadid ne chaha dabochna
us shaera ne kar diya start nochna
dekha jo dusri ne to himmat baTor kar
aafat se ban ke chha gai pairon ko joD kar
phir referee ka kaam yahan end ho gaya
do party ke bich bachaw mein kho gaya
sab shaeqin-e-sher-o-adab bhagne lage
sun sun ke shor sote hue jagne lage
shair the un ka haal bhi ho kar raha ajib
qismat pe apni rota raha shair-e-gharib
kitni qamiz phaT gain patlun phaT gae
pure badan kahin na kahin se simaT gae
ghabra ke ol-fol bhi bakne lage janab
un se kabaDDi khel ke izzat hui KHarab
sab ne qasam ye khai ki ab sari zindagi
janjal mein phansi hui hogi na shaeri
ai 'shaiKH' shaeri to sharafat se kijiye
ye KHidmat-e-adab hai liyaqat se kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.