shaeri mat karo
kāñToñ ke taaj chuno
yā
jab sach kī raah chalo
lafzoñ ke pech-o-tāb meñ ullū na bano
shā.erī mat karo!
moTe-jhoTe yajmānoñ kī jhiḌkiyāñ hoñ
yā kāhil riyā-kār afsaroñ kā phaTkāreñ
yā phir
dublī-patlī diq-zada bīviyoñ ke ta.ane hoñ
yā totā-chashm ayyār rut badlī
mahbūbāoñ kī jhūTī muskurāhaTeñ
ḳhāmosh raho
har shai ko
qudarat kā karishma samjho
par ḳhudā ke liye
bhagvān ke liye
shaitān ke liye
shā.erī mat karo
manzar pas-manzar
ḳhāmosh hotā hai
peḌ sākit khaḌe rahte haiñ
patte hilte haiñ
par na uḌte haiñ
kahīñ duur se rail kī sīTiyāñ ubhartī haiñ
aur nazdīk ke race-kors se
bhāgte tezābī ghoḌoñ kī Tāpoñ se ziyāda
nau-dolatiye gadhoñ kī chīḳh-o-pukār se
kaan phaTne lagte haiñ
har kahīñ kānoñ ko
ruuī mayassar nahīñ aatī hai
kam-az-kam
āñkheñ muuñd lo
(ye tumhāre bas meñ hai)
añdhiyāre meñ āvāzeñ zaa.il ho jā.eñgī
zehn ke kaale parde par
koī tasvīr nahīñ ubhregī
kānoñ meñ
koī āvāz nahīñ aa.egī
gūñge bahre andhe ho jaao
shā.erī mat karo
aur añdhiyāre meñ duur talak dekhte jaao
der talak
be-sub.h-o-shām
be-jism-o-jān
ākāsh āsmān
dekhte jaao
shāyad isī lamhe
yā kal parsoñ
yā sadiyāñ guzar jaane ke ba.ad
zamīn uḌ jaane
āsmān bikhar jaane ke ba.ad
har shai ke mar jaane ke ba.ad
dhuul simaT jā.egī
dhund miTegī
añdhiyāre meñ chāroñ jānib
ā.īna ubhregā
kānoñ meñ nuqra.ī ghanTiyoñ ke maddham naġhmoñ
kī sharāboñ kā nashsha gūñjegā
chāroñ samt sunahrī safed motī
sā chamaktā chehrā ubhregā
chāroñ jānib sar-sugandh kī mālā.eñ
lahrā.eñgī
nit-navelī sadā kī doshīza
shā.erī kī pālkī par savār aa.egī
mujh ko
duur bides le jā.egī
kanTon ke taj chuno
ya
jab sach ki rah chalo
lafzon ke pech-o-tab mein ullu na bano
shaeri mat karo!
moTe-jhoTe yajmanon ki jhiDkiyan hon
ya kahil riya-kar afsaron ka phaTkaren
ya phir
dubli-patli diq-zada biwiyon ke tane hon
ya tota-chashm ayyar rut badli
mahbubaon ki jhuTi muskurahaTen
KHamosh raho
har shai ko
qudarat ka karishma samjho
par KHuda ke liye
bhagwan ke liye
shaitan ke liye
shaeri mat karo
manzar pas-manzar
KHamosh hota hai
peD sakit khaDe rahte hain
patte hilte hain
par na uDte hain
kahin dur se rail ki siTiyan ubharti hain
aur nazdik ke race-kors se
bhagte tezabi ghoDon ki Tapon se ziyaada
nau-dolatiye gadhon ki chiKH-o-pukar se
kan phaTne lagte hain
har kahin kanon ko
rui mayassar nahin aati hai
kam-az-kam
aankhen mund lo
(ye tumhaare bas mein hai)
andhiyare mein aawazen zail ho jaengi
zehn ke kale parde par
koi taswir nahin ubhregi
kanon mein
koi aawaz nahin aaegi
gunge bahre andhe ho jao
shaeri mat karo
aur andhiyare mein dur talak dekhte jao
der talak
be-subh-o-sham
be-jism-o-jaan
aakash aasman
dekhte jao
shayad isi lamhe
ya kal parson
ya sadiyan guzar jaane ke baad
zamin uD jaane
aasman bikhar jaane ke baad
har shai ke mar jaane ke baad
dhul simaT jaegi
dhund miTegi
andhiyare mein chaaron jaanib
aaina ubhrega
kanon mein nuqrai ghanTiyon ke maddham naghmon
ki sharabon ka nashsha gunjega
chaaron samt sunahri safed moti
sa chamakta chehra ubhrega
chaaron jaanib sar-sugandh ki malaen
lahraengi
nit-naweli sada ki doshiza
shaeri ki palki par sawar aaegi
mujh ko
dur bides le jaegi
- Book : saughat-pahli-kitab-magazines (Pg. 374)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.