shaeri pura mard aur puri aurat mangti hai
tum jo lafzoñ ke gorakh-dhande meñ uljhe
be-ras shā.erī karte ho
luġhat se lafz uThāte ho
aur daa.eñ baa.eñ un ko chabā kar
sher ugalte rahte
tum ko kyā ma.alūm
ki kyā hai ishq aur us kī haqīqat kyā hai
pyaar hai kyā aur chāhat kyā hai
tum ne kisī ke hijr meñ kab
rāteñ kaaTī haiñ..?
kab tum vasl ke nashshe se sarshār hue ho
tum ko kyā ma.alūm
ki hoñToñ kā ras kyā hotā hai
kaise aañkh se girte aañsū motī ban jaate haiñ
tum ko kyā ma.alūm ki kaise
bāzuoñ meñ aa kar mahbūb pighal jaate haiñ
tum ko kyā ma.alūm mohabbat kyā hotī hai
tum ko kyā ma.alūm judā.ī kī shab kaise kaTtī hai
aur din kitne vīrāñ hote haiñ
tum ko kyā hai
tum to apnī bīviyoñ se bhī
Dare Dare
sharminda sharminda ham-bistarī karte ho
tum ko kyā ma.alūm hai
shā.erī
puurā mard aur puurī aurat māñgtī hai
tum ne kisī hijḌe ke lab par
sher kā phuul khile dekhā hai
us kī ujḌī vīrāñ aañkh meñ
nazm kā diip jale dekhā hai
ye to ho saktā hai
(aur akasr aisā hotā aayā hai)
shā.er hijḌe ho jaate haiñ
lekin koī hijḌā
shā.er ho nahīñ saktā
shā.erī puurā mard
aur puurī aurat māñgtī hai
tum jo lafzon ke gorakh-dhande mein uljhe
be-ras shaeri karte ho
lughat se lafz uThate ho
aur daen baen un ko chaba kar
sher ugalte rahte
tum ko kya malum
ki kya hai ishq aur us ki haqiqat kya hai
pyar hai kya aur chahat kya hai
tum ne kisi ke hijr mein kab
raaten kaTi hain?
kab tum wasl ke nashshe se sarshaar hue ho
tum ko kya malum
ki honTon ka ras kya hota hai
kaise aankh se girte aansu moti ban jate hain
tum ko kya malum ki kaise
bazuon mein aa kar mahbub pighal jate hain
tum ko kya malum mohabbat kya hoti hai
tum ko kya malum judai ki shab kaise kaTti hai
aur din kitne viran hote hain
tum ko kya hai
tum to apni biwiyon se bhi
Dare Dare
sharminda sharminda ham-bistari karte ho
tum ko kya malum hai
shaeri
pura mard aur puri aurat mangti hai
tum ne kisi hijDe ke lab par
sher ka phul khile dekha hai
us ki ujDi viran aankh mein
nazm ka dip jale dekha hai
ye to ho sakta hai
(aur akasr aisa hota aaya hai)
shaer hijDe ho jate hain
lekin koi hijDa
shaer ho nahin sakta
shaeri pura mard
aur puri aurat mangti hai
- Book : Taawaan (Pg. 182)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.