shah-e-wala
ham to yuuñ bhī bāj-guzār the sadiyoñ ke
ham to kitnī hī nasloñ se
aap kī kitnī hī nasloñ ko
haqq-e-namak meñ
apne īmān aur anā kā
nazrāna dete aa.e the
ham ne to apne hisse meñ
mahal-sarā ke pichhvāḌe kī
dhuul chunī thī
aur rāhoñ meñ uḌne vaale kuchh tinke bhī
jin se ghoñsle ban sakte the
mahal-sarā ko in tinkoñ se kyā ḳhatra thā
phir kyuuñ aap ne shāh-e-vālā
chīloñ kavvoñ aur gidhoñ ko
chhoTe chhoTe ghoñsle nochne par māmūr kiyā hai
aisā kyuuñ hai shāh-e-vālā
ham sadiyoñ ke bāj-guzār to
shahr-e-panāh se bāhar haiñ
lekin chīleñ kavve aur gidh
shahr-e-panāh ke andar haiñ
shahr-e-panāh kī is taqsīm meñ
kis kā haath hai shāh-e-vālā
hum to yun bhi baj-guzar the sadiyon ke
hum to kitni hi naslon se
aap ki kitni hi naslon ko
haqq-e-namak mein
apne iman aur ana ka
nazrana dete aae the
hum ne to apne hisse mein
mahal-sara ke pichhwaDe ki
dhul chuni thi
aur rahon mein uDne wale kuchh tinke bhi
jin se ghonsle ban sakte the
mahal-sara ko in tinkon se kya KHatra tha
phir kyun aap ne shah-e-wala
chilon kawwon aur gidhon ko
chhoTe chhoTe ghonsle nochne par mamur kiya hai
aisa kyun hai shah-e-wala
hum sadiyon ke baj-guzar to
shahr-e-panah se bahar hain
lekin chilen kawwe aur gidh
shahr-e-panah ke andar hain
shahr-e-panah ki is taqsim mein
kis ka hath hai shah-e-wala
- Book : Pakistani Adab (Pg. 228)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.