utartā jaatā hai rag rag meñ zahr-e-naumīdī
nazar ko miltī hai har samt naqsh naqsh meñ yaas
dil-o-dimāġh kā aalam sukūt se pur hai
vo intihā ki ḳhamoshī kā pahra hai jis par
abhī se kyoñ mirī taqdīr ho ga.ī mujh ko
qadam qadam pe milī zindagī adū ban kar
abhī to mere ḳhayāloñ ko aur ronā thā
siyāh rāh-e-tasavvur pe chhā.ī to lekin
kuchh is tarah ki sitāroñ kī niiñd hī na khulī
tamām raat maiñ dukh kī talāsh kartā rahā
sahar huī to taḳhayyul kī vādiyoñ meñ mujhe
shajar shajar pe na.ī koft ke dhuñdalke mile
mirā nasīb ki phir bhī fuġhāñ na kar paayā
mire ḳhayāl ye kyā hādisa huā āḳhir
zamāna taktā hai hairat se yuuñ mujhe jaise
ik ajnabī se musavvir kā shāhkār huuñ maiñ
utarta jata hai rag rag mein zahr-e-naumidi
nazar ko milti hai har samt naqsh naqsh mein yas
dil-o-dimagh ka aalam sukut se pur hai
wo intiha ki KHamoshi ka pahra hai jis par
abhi se kyon meri taqdir ho gai mujh ko
qadam qadam pe mili zindagi adu ban kar
abhi to mere KHayalon ko aur rona tha
siyah rah-e-tasawwur pe chhai to lekin
kuchh is tarah ki sitaron ki nind hi na khuli
tamam raat main dukh ki talash karta raha
sahar hui to taKHayyul ki wadiyon mein mujhe
shajar shajar pe nai koft ke dhundalke mile
mera nasib ki phir bhi fughan na kar paya
mere KHayal ye kya hadisa hua aaKHir
zamana takta hai hairat se yun mujhe jaise
ek ajnabi se musawwir ka shahkar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.