shair apni mahbuba se
terī qurbat meñ tere saa.e meñ
chaar din zindagī ke jiinā hai
tere sar kī qasam kabhī khā kar
terī āñkhoñ se pī ke jiinā hai
ishq dushvār hī sahī lekin
mujh ko dushvār kaam karnā hai
dhuup meñ ishq chāñdnī meñ ishq
ishq hī sub.h-o-shām karnā hai
mil ke tujh se ai merī mahbūba
jaane kitnī hī
thoḌī sachchī bhī thoḌī jhūTī bhī
qasmeñ khānī thiiñ
va.ade karne the
par mirī jānāñ
jaise majmūa shaa.e karte samay
pheñk detā thā apnī rachnā.eñ
dil meñ pinhāñ jo ek raddī kī
Tokrī jis meñ paal rakhī thiiñ
aaj tujh se ai merī mahbūba
itnā iz.hār mujh ko karnā hai
kal agar mujh ko thoḌā paisa milā
to likhūñgā
ek kāġhaz ḳharīd kar dil se
teri qurbat mein tere sae mein
chaar din zindagi ke jina hai
tere sar ki qasam kabhi kha kar
teri aankhon se pi ke jina hai
ishq dushwar hi sahi lekin
mujh ko dushwar kaam karna hai
dhup mein ishq chandni mein ishq
ishq hi subh-o-sham karna hai
mil ke tujh se ai meri mahbuba
jaane kitni hi
thoDi sachchi bhi thoDi jhuTi bhi
qasmen khani thin
wade karne the
par meri jaanan
jaise majmua shae karte samay
phenk deta tha apni rachnaen
dil mein pinhan jo ek raddi ki
Tokri jis mein pal rakhi thin
aaj tujh se ai meri mahbuba
itna izhaar mujh ko karna hai
kal agar mujh ko thoDa paisa mila
to likhunga
ek kaghaz KHarid kar dil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.