shair aur musawwir
rang bhartī hai fazāoñ meñ tirī fikr-e-rasā
husn kā paikar nazar aatī hai har mauj-e-sabā
dekh kar pur-haul sannāTe meñ ujḌī bastiyāñ
ġham se rah jaatā huuñ dāñtoñ meñ dabā kar uñgliyāñ
terī zulfeñ badliyāñ āñkheñ sitāroñ kī tarah
chaal meñ haiñ mastiyāñ rangat sharāroñ kī tarah
rukne lagte haiñ ujāloñ ke usī dam jaise paañv
jis taraf pagDanDiyoñ par paḌtī hai gāgar kī chhāñv
muztarib hotā hai is manzar se dil insān kā
dhaḌkanoñ par dil kī hotā hai gumāñ tūfān kā
ai musavvir tujh ko shā.ir ne isī par maat dī
khīñch bhī saktā hai tū tasvīr ehsāsāt kī
kaash de saktā tujhe husn-e-basīrat terā fan
har muraqqa.a terā ban jaatā ḳhud apnī anjuman
kaun hai qaa.il tirī is shoḳhi-e-tahrīr kā
tū musavvir hī nahīñ jazbāt kī tasvīr kā
rang bharti hai fazaon mein teri fikr-e-rasa
husn ka paikar nazar aati hai har mauj-e-saba
dekh kar pur-haul sannaTe mein ujDi bastiyan
gham se rah jata hun danton mein daba kar ungliyan
teri zulfen badliyan aankhen sitaron ki tarah
chaal mein hain mastiyan rangat shararon ki tarah
rukne lagte hain ujalon ke usi dam jaise panw
jis taraf pagDanDiyon par paDti hai gagar ki chhanw
muztarib hota hai is manzar se dil insan ka
dhaDkanon par dil ki hota hai guman tufan ka
ai musawwir tujh ko shair ne isi par mat di
khinch bhi sakta hai tu taswir ehsasat ki
kash de sakta tujhe husn-e-basirat tera fan
har muraqqa tera ban jata KHud apni anjuman
kaun hai qail teri is shoKHi-e-tahrir ka
tu musawwir hi nahin jazbaat ki taswir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.