shair-e-mashriq ki arz-dasht
allāma-iqbāl ke huzūr
fitrat kā kārobār to chaltā hai aaj bhī
mahtāb barg-e-gul pe phisaltā hai aaj bhī
qudrat ne ham ko daulat-e-duniyā bhī kam na dī
sayyāl zar-e-zamīñ se ubaltā hai aaj bhī
duniyā meñ raushnī bhī hamāre hī dam se hai
mashriq se āftāb nikaltā hai aaj bhī
par manzar-e-ġhurūb bahut dil-nashīñ hai kyuuñ
maġhrib kī shaam apnī sahar se hasīñ hai kyuuñ
is kashmakash meñ daulat-e-uqbā bhī chhin ga.ī
zauq-e-junūñ se vus.at-e-sahrā bhī chhin ga.ī
sahrā-e-ārzū meñ tag-o-dau nahīñ rahī
pā-e-talab se vādī-e-sīnā bhī chhin ga.ī
tū ne to qartaba meñ namāzeñ bhī kiiñ adā
apnī jabīñ se masjid-e-aqsā bhī chhin ga.ī
kohsār rauñd Daale ga.e khet ho ga.e
chaTTān ham zarūr the ab ret ho ga.e
manzil pe aa ke luT ga.e ham rahbaroñ ke saath
bīmār bhī paḌe haiñ to chāragaroñ ke saath
ġhurbat-kade meñ kaash utar aa.e kahkashāñ
āñkheñ falak kī samt haiñ bojhal saroñ ke saath
uḌnā muhāl lauT ke aanā bhī hai vabāl
zaḳhmī duā ḳhalā meñ hai TuuTe paroñ ke saath
is razm-e-ḳhair-o-shar meñ huā kaun suraḳh-rū
zarb-e-kalīm kund hai fir.aun surḳh-rū
allama-iqbaal ke huzur
fitrat ka karobar to chalta hai aaj bhi
mahtab barg-e-gul pe phisalta hai aaj bhi
qudrat ne hum ko daulat-e-duniya bhi kam na di
sayyal zar-e-zamin se ubalta hai aaj bhi
duniya mein raushni bhi hamare hi dam se hai
mashriq se aaftab nikalta hai aaj bhi
par manzar-e-ghurub bahut dil-nashin hai kyun
maghrib ki sham apni sahar se hasin hai kyun
is kashmakash mein daulat-e-uqba bhi chhin gai
zauq-e-junun se wusat-e-sahra bhi chhin gai
sahra-e-arzu mein tag-o-dau nahin rahi
pa-e-talab se wadi-e-sina bhi chhin gai
tu ne to qartaba mein namazen bhi kin ada
apni jabin se masjid-e-aqsa bhi chhin gai
kohsar raund Dale gae khet ho gae
chaTTan hum zarur the ab ret ho gae
manzil pe aa ke luT gae hum rahbaron ke sath
bimar bhi paDe hain to chaaragaron ke sath
ghurbat-kade mein kash utar aae kahkashan
aankhen falak ki samt hain bojhal saron ke sath
uDna muhaal lauT ke aana bhi hai wabaal
zaKHmi dua KHala mein hai TuTe paron ke sath
is razm-e-KHair-o-shar mein hua kaun suraKH-ru
zarb-e-kalim kund hai firaun surKH-ru
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.