shair
ik mukammal zindagī hai shā.ir-e-shīrīñ-bayāñ
mahram-e-rāz-e-fanā hai aur baqā kā tarjumāñ
us kī hastī kī hai qīmat ik nigāh-e-iltifāt
hech ḳhuddārī ke aage haiñ zamīn-o-āsmāñ
vo kahīñ majbūr-e-mutlaq hai kahīñ muḳhtār-e-kul
husn kā be-dām banda varna hai shāh-e-jahāñ
ḳham jabīñ hotī hai us kī naqsh-e-pā-e-dost par
aur jhuk jaate haiñ us ke paañv par donoñ jahāñ
us se poshīda nahīñ haiñ rāz-hā-e-husn-o-ishq
tarjumāñ hai ahl-e-ulfat kā vo sirr-e-dil-barāñ
phuul barsātā hai apne dostoñ kī bazm meñ
aur girātā hai saf-e-aġhyār par ye bijliyāñ
us ke nāzuk qalb meñ miltā hai mazlūmoñ kā dard
be-kasoñ kā hai vo haamī be-zabānoñ kī zabāñ
fitratan āzād be-ḳhauf-o-ḳhatar bebāk hai
zindagī detī haiñ us ko zindagī kī talḳhiyāñ
dil ke tūfāñ meñ qalam us kā hai kashtī nuuh kī
aur hai us kā tasavvur ek bahr-e-be-karāñ
qalb us kā mulk ke hālāt kā ā.īna-dār
qaum ke jazbāt kī tash.hīr hai us kā bayāñ
diin hai us kā mohabbat us kī duniyā shā.erī
hai tashaddud kā muḳhālif hāmi-e-amn-o-amāñ
ai 'shifā' un ko magar shā.ir na kah denā kahīñ
bazm meñ lā kar jo paḌhte haiñ kalām-e-dīgarāñ
ek mukammal zindagi hai shair-e-shirin-bayan
mahram-e-raaz-e-fana hai aur baqa ka tarjuman
us ki hasti ki hai qimat ek nigah-e-iltifat
hech KHuddari ke aage hain zamin-o-asman
wo kahin majbur-e-mutlaq hai kahin muKHtar-e-kul
husn ka be-dam banda warna hai shah-e-jahan
KHam jabin hoti hai us ki naqsh-e-pa-e-dost par
aur jhuk jate hain us ke panw par donon jahan
us se poshida nahin hain raaz-ha-e-husn-o-ishq
tarjuman hai ahl-e-ulfat ka wo sirr-e-dil-baran
phul barsata hai apne doston ki bazm mein
aur giraata hai saf-e-aghyar par ye bijliyan
us ke nazuk qalb mein milta hai mazlumon ka dard
be-kason ka hai wo hami be-zabanon ki zaban
fitratan aazad be-KHauf-o-KHatar bebak hai
zindagi deti hain us ko zindagi ki talKHiyan
dil ke tufan mein qalam us ka hai kashti nuh ki
aur hai us ka tasawwur ek bahr-e-be-karan
qalb us ka mulk ke haalat ka aaina-dar
qaum ke jazbaat ki tashhir hai us ka bayan
din hai us ka mohabbat us ki duniya shaeri
hai tashaddud ka muKHalif hami-e-amn-o-aman
ai 'shifa' un ko magar shair na kah dena kahin
bazm mein la kar jo paDhte hain kalam-e-digaran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.