shair ka dil
mudda.ī tū ne abhī dekhā nahīñ shā.ir kā dil
jalva-hā-e-rang-o-bū hote haiñ jis meñ muntaqil
dil nahīñ ik mustaqil ā.īna hai jazbāt kā
aks khiñch aatā hai jis meñ saare maujūdāt kā
kaun shā.ir jis kā siina mahram-e-rāz-e-hayāt
kaun shā.ir jis ke qālib meñ hai rūh-e-kā.enāt
tarjumān-e-kun-fakāñ jis kā lab-e-ejāz hai
jis kī hastī par yahāñ qudrat ko sau-sau naaz hai
kahiye jis kī quvvat-e-taḳh.īl ko āfāq-gīr
arsh-o-farsh-o-kursī-o-lauh-o-qalam jis meñ asiir
sau tarah ke soz-e-pinhāñ jis ke har ik saaz meñ
husn jaise karvaTeñ letā hai ḳhvāb-e-nāz meñ
Dar use kyā intiqām-e-gardish-e-ayyām se
jo yahāñ vāqif hai har āġhāz se anjām se
gūñjtā hai zindagī kā giit jis ke raag meñ
jo hamesha kuud paḌtā hai parā.ī aag meñ
jis kā maz.hab amn-jūī jis kā mashrab sulh-e-kul
jis ke naġhmoñ kī latāfat hai javāb-e-barg-e-gul
jis kī tar-dāmāniyāñ behtar haiñ zohd-e-ḳhushk se
fikr kī ḳhushbū hai jis kī tez bū-e-mushk se
TūTnā koh-e-girāñ kā jis ke aage be-vaqār
TuuT kar shīshe kā TukḌā jis ko kar de be-qarār
ahl-e-zāhir kab samajh sakte haiñ ye rāz-o-niyāz
ashk hai jis kā vuzū aur dard hai jis kī namāz
Daal kar sho.aloñ meñ is ko koī kar le is kī jāñch
jism to jal jā.egā par aa.egī dil par na aañch
zauq-e-irfāñ hai tujhe to jā kisī shā.ir se mil
mudda.ī tū ne abhī dekhā nahīñ shā.ir kā dil
muddai tu ne abhi dekha nahin shair ka dil
jalwa-ha-e-rang-o-bu hote hain jis mein muntaqil
dil nahin ek mustaqil aaina hai jazbaat ka
aks khinch aata hai jis mein sare maujudat ka
kaun shair jis ka sina mahram-e-raaz-e-hayat
kaun shair jis ke qalib mein hai ruh-e-kaenat
tarjuman-e-kun-fakan jis ka lab-e-ejaz hai
jis ki hasti par yahan qudrat ko sau-sau naz hai
kahiye jis ki quwwat-e-taKHil ko aafaq-gir
arsh-o-farsh-o-kursi-o-lauh-o-qalam jis mein asir
sau tarah ke soz-e-pinhan jis ke har ek saz mein
husn jaise karwaTen leta hai KHwab-e-naz mein
Dar use kya intiqam-e-gardish-e-ayyam se
jo yahan waqif hai har aaghaz se anjam se
gunjta hai zindagi ka git jis ke rag mein
jo hamesha kud paDta hai parai aag mein
jis ka mazhab amn-jui jis ka mashrab sulh-e-kul
jis ke naghmon ki latafat hai jawab-e-barg-e-gul
jis ki tar-damaniyan behtar hain zohd-e-KHushk se
fikr ki KHushbu hai jis ki tez bu-e-mushk se
TuTna koh-e-giran ka jis ke aage be-waqar
TuT kar shishe ka TukDa jis ko kar de be-qarar
ahl-e-zahir kab samajh sakte hain ye raaz-o-niyaz
ashk hai jis ka wuzu aur dard hai jis ki namaz
Dal kar shoalon mein is ko koi kar le is ki jaanch
jism to jal jaega par aaegi dil par na aanch
zauq-e-irfan hai tujhe to ja kisi shair se mil
muddai tu ne abhi dekha nahin shair ka dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.