shair ka tarana
mahram-e-shabnam rafīq-e-lāla-e-sahrā huuñ maiñ
ham-nashīñ-e-yāsmīn-o-nargis-e-shahlā huuñ maiñ
chāñd aur sūraj kā hamdam huuñ falak-paimā huuñ maiñ
aaj tak mahv-e-talāsh-e-fitrat-e-kubrā huuñ maiñ
barbat-e-qudrat ke naġhme ishrat-e-daurāñ ke raag
kyā bujhā sakte haiñ mere sīna-e-sozāñ kī aag
ḳhaak se paidā hue gulhā-e-tar mere liye
os kī būñdeñ nahīñ la.al-o-gohar mere liye
hai jahāñ meñ husn-e-fitrat jalva-gar mere liye
rang-o-nig.hat kaif-o-kam tāj-o-kamar mere liye
hai azal se mere pahlū meñ dil-e-momin nihād
merī nazreñ toḌ detī haiñ tilism-e-barq-o-bād
zalzale hoñ yā kavākib sab mire zer-e-nagīñ
khol saktā huuñ maiñ qufl-e-āsmāñ bāb-e-zamīñ
merā dil ratl-e-girāñ merī nigāheñ dūrbīñ
mere qadmoñ par jhukā.ī māh-pāroñ ne jabīñ
ishq-o-mastī kā rabāb-e-zar-fishāñ rakhtā huuñ maiñ
āstīnoñ meñ yad-e-baizā nihāñ rakhtā huuñ maiñ
bhar diyā maiñ ne ayāġh-e-lāla meñ ḳhūn-e-bahār
jābir-o-sarkash anāsir par hai merā iḳhtiyār
haiñ mire ash.ār dast-e-ġhaib ke naqsh-o-nigār
hūryān-e-ḳhuld ko ab tak hai merā intizār
zulmat-e-afsurda ko maiñ ne atā kī hai chamak
bijliyoñ ke dosh par kartā huuñ maiñ sair-e-falak
is tarah kohsār se aatī hai jū-e-narm-rau
abr ke rauzan se goyā jhāñktā hai māh-e-nau
mahram-e-shabnam rafiq-e-lala-e-sahra hun main
ham-nashin-e-yasmin-o-nargis-e-shahla hun main
chand aur suraj ka hamdam hun falak-paima hun main
aaj tak mahw-e-talash-e-fitrat-e-kubra hun main
barbat-e-qudrat ke naghme ishrat-e-dauran ke rag
kya bujha sakte hain mere sina-e-sozan ki aag
KHak se paida hue gulha-e-tar mere liye
os ki bunden nahin lal-o-gohar mere liye
hai jahan mein husn-e-fitrat jalwa-gar mere liye
rang-o-nighat kaif-o-kam taj-o-kamar mere liye
hai azal se mere pahlu mein dil-e-momin nihad
meri nazren toD deti hain tilism-e-barq-o-baad
zalzale hon ya kawakib sab mere zer-e-nagin
khol sakta hun main qufl-e-asman bab-e-zamin
mera dil ratl-e-giran meri nigahen durbin
mere qadmon par jhukai mah-paron ne jabin
ishq-o-masti ka rabab-e-zar-fishan rakhta hun main
aastinon mein yad-e-baiza nihan rakhta hun main
bhar diya main ne ayagh-e-lala mein KHun-e-bahaar
jabir-o-sarkash anasir par hai mera iKHtiyar
hain mere ashaar dast-e-ghaib ke naqsh-o-nigar
huryan-e-KHuld ko ab tak hai mera intizar
zulmat-e-afsurda ko main ne ata ki hai chamak
bijliyon ke dosh par karta hun main sair-e-falak
is tarah kohsar se aati hai ju-e-narm-rau
abr ke rauzan se goya jhankta hai mah-e-nau
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.