kal maiñ jab ālam-e-tanhā.ī meñ thā
dil ne chupke se kahā
koī rañgīn sā afsāna sunāo
koī maazī kā junūñ-ḳhez tarāna chheḌo
koī sarshārī-e-ulfat kī kahānī doharāo
maiñ zarā der to ḳhāmosh rahā
dekh kar dil ko magar maiñ ne musalsal betāb
us kī taskīn kī ḳhātir ye kahā
merā maazī ki hai yādoñ kā mazār
apne hāthoñ jise ta.amīr kiyā hai maiñ ne
ab bhalā kyuuñ use mismār karūñ
ab ba-juz ḳhaak ke is qabr meñ kyā rakkhā hai
zindagī jis se ibārat thī vo āshufta-sarī
tajraba ban ke mirī ruuh meñ paivasta hai
biite lamhe kabhī vāpas nahīñ aate ai dil
ye jahāñ rāh-e-amal hai jis par
kārvāñ lamhoñ ke din-rāt baḌhe jaate haiñ
uf vo kam-fahm jo raste meñ Thahar jaate haiñ
apne hī maazī ke marqad ke mujāvar ban kar
aur marqad pe jalāte haiñ jo ashkoñ ke charāġh
zindagī girya nahīñ naġhma hai
zindagī ḳhaar nahīñ ġhuncha hai
zindagī raakh nahīñ sho.ala hai
zindagī mauj-e-sabā hai ai dil
zindagī gul ke mahakne kī adā hai ai dil
mujh ko ehsās hai ab ḳhāk-e-vatan ko hai zarūrat merī
gulshan-e-amn-o-mohabbat ko hai hājat merī
tujh ko ai dil mirā naġhma ban kar
chhup ke is ḳhaak ke zarroñ meñ dhḌaknā hogā
rah ke har ġhuncha ke pahlū meñ chaTaknā hogā
ai mire dil tujhe us tarah dhḌaknā hogā
ye sipāhī ye mire desh ke ḳhuddār javāñ
jin ke hāthoñ meñ haiñ āzādi-e-insāñ ke nishāñ
mujh ko mahsūs ho maiñ bhī huuñ unhīñ meñ shāmil
ai mire dil tujhe is tarah dhḌaknā hogā
ilm-o-science ke aflāk ke raushan mahtāb
jin kī āñkhoñ meñ palā karte haiñ taḳhlīq ke ḳhvāb
mujh ko mahsūs ho maiñ bhī huuñ unhīñ meñ shāmil
ai mire dil tujhe is tarah dhḌaknā hogā
ye mire desh ke mazdūr ye dahqāñ ye avaam
jin ke hāthoñ meñ hai ta.amīr-o-taraqqī kī lagām
mujh ko mahsūs ho maiñ bhī huuñ unhīñ meñ shāmil
maiñ tahī-dast huuñ kyā pesh-e-vatan nazr karūñ
jān-o-dil fikr-o-nazar azmat-e-fan nazr karūñ
kal main jab aalam-e-tanhai mein tha
dil ne chupke se kaha
koi rangin sa afsana sunao
koi mazi ka junun-KHez tarana chheDo
koi sarshaari-e-ulfat ki kahani doharao
main zara der to KHamosh raha
dekh kar dil ko magar main ne musalsal betab
us ki taskin ki KHatir ye kaha
mera mazi ki hai yaadon ka mazar
apne hathon jise tamir kiya hai main ne
ab bhala kyun use mismar karun
ab ba-juz KHak ke is qabr mein kya rakkha hai
zindagi jis se ibarat thi wo aashufta-sari
tajraba ban ke meri ruh mein paiwasta hai
bite lamhe kabhi wapas nahin aate ai dil
ye jahan rah-e-amal hai jis par
karwan lamhon ke din-raat baDhe jate hain
uf wo kam-fahm jo raste mein Thahar jate hain
apne hi mazi ke marqad ke mujawar ban kar
aur marqad pe jalate hain jo ashkon ke charagh
zindagi girya nahin naghma hai
zindagi KHar nahin ghuncha hai
zindagi rakh nahin shoala hai
zindagi mauj-e-saba hai ai dil
zindagi gul ke mahakne ki ada hai ai dil
mujh ko ehsas hai ab KHak-e-watan ko hai zarurat meri
gulshan-e-amn-o-mohabbat ko hai hajat meri
tujh ko ai dil mera naghma ban kar
chhup ke is KHak ke zarron mein dhDakna hoga
rah ke har ghuncha ke pahlu mein chaTakna hoga
ai mere dil tujhe us tarah dhDakna hoga
ye sipahi ye mere desh ke KHuddar jawan
jin ke hathon mein hain aazadi-e-insan ke nishan
mujh ko mahsus ho main bhi hun unhin mein shamil
ai mere dil tujhe is tarah dhDakna hoga
ilm-o-science ke aflak ke raushan mahtab
jin ki aankhon mein pala karte hain taKHliq ke KHwab
mujh ko mahsus ho main bhi hun unhin mein shamil
ai mere dil tujhe is tarah dhDakna hoga
ye mere desh ke mazdur ye dahqan ye awam
jin ke hathon mein hai tamir-o-taraqqi ki lagam
mujh ko mahsus ho main bhi hun unhin mein shamil
main tahi-dast hun kya pesh-e-watan nazr karun
jaan-o-dil fikr-o-nazar azmat-e-fan nazr karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.