shair
kaun hai jis kī sisaktī huī fariyādoñ ne
mere ehsās ke har taar meñ larzish bhar dī
kis kī āvāz se larzāñ hai har ik tār-e-hayāt
kis kī aahoñ ne mire ḳhuun meñ sozish bhar dī
haañ vahī jis ne kabhī raat ke sannāTe meñ
apne armānoñ kā ik ḳhvāb sajā rakkhā thā
jis ne āñdhī ke sanakte hue jhoñkoñ meñ nadīm
ik charāġh-e-shab-e-ummīd jalā rakhā thā
us kī duniyā meñ garajte rahe hālāt ke abr
us ke ākāsh pe chhāyā kiye kaale bādal
sar uThā.e hue hañstā huā tūfānoñ par
us ke sapnoñ kā banāyā huā vo rang-mahal
ab bhī us ke rag-o-pai meñ vahī jaulāñ hai lahū
jis ke sho.aloñ se dahak uThte haiñ shāhī aivāñ
us ke sulge hue jazboñ meñ vo garmī hai ki aaj
āmriyat ke kaleje se nikaltā hai dhuāñ
kaun hai jis ki sisakti hui fariyaadon ne
mere ehsas ke har tar mein larzish bhar di
kis ki aawaz se larzan hai har ek tar-e-hayat
kis ki aahon ne mere KHun mein sozish bhar di
han wahi jis ne kabhi raat ke sannaTe mein
apne armanon ka ek KHwab saja rakkha tha
jis ne aandhi ke sanakte hue jhonkon mein nadim
ek charagh-e-shab-e-ummid jala rakha tha
us ki duniya mein garajte rahe haalat ke abr
us ke aakash pe chhaya kiye kale baadal
sar uThae hue hansta hua tufanon par
us ke sapnon ka banaya hua wo rang-mahal
ab bhi us ke rag-o-pai mein wahi jaulan hai lahu
jis ke shoalon se dahak uThte hain shahi aiwan
us ke sulge hue jazbon mein wo garmi hai ki aaj
aamriyat ke kaleje se nikalta hai dhuan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.