shair ke dil ki tamanna
shair ke dil ki tamanna
Lala Anoop Chand Aaftab Panipati
MORE BYLala Anoop Chand Aaftab Panipati
miT jaa.eñ mulk se buġhz-o-hasad aur dil meñ vatan kī izzat ho
dāman meñ fazāoñ ke har jā ik amn-o-sukūñ kī sarvat ho
siine hoñ paak kudūrat se har lab par naġhma-e-ulfat ho
firdaus-e-barīñ kā namūna phir duniyā meñ pyārā bhārat ho
ulfat kā sar meñ saudā hai jazbāt kā tūfāñ barpā hai
ghar ghar meñ prem kī gañgā ho shā.ir ke dil kī tamannā hai
ai bhārat maatā laal tire is daur-e-ḳhizāñ meñ sambhal jaa.eñ
sāñche meñ prem aur uns ke ab sab hindū muslim Dhal jaa.eñ
naġhmoñ se sachchī mohabbat ke duniyā kī fazā.eñ badal jaa.eñ
ye manzar dekh ke ulfat ke aañsū āñkhoñ se nikal jaa.eñ
ulfat kā sar meñ saudā hai jazbāt kā tūfāñ barpā hai
ghar ghar meñ prem kī gañgā ho shā.ir ke dil kī tamannā hai
vo mulk hai duniyā se achchhā jo rashk-e-jināñ kahlātā hai
ārām-o-rāhat kī chīzeñ sab jis meñ insāñ paatā hai
ai murlī-dhar kī janm-bhūmī tū saare sukhoñ kī daatā hai
ham terī aan pe marte haiñ to pyārī bhārat-mātā hai
ulfat kā sair meñ saudā hai jazbāt kā tūfāñ barpā hai
ghar ghar meñ prem kī gañgā ho shā.ir ke dil kī tamannā hai
bhar bhar ke jām-e-mohabbat ke mai-ḳhāna-dahr meñ ḳhuub piyeñ
gokul meñ nand kā laala ho murlī kī pyārī Ter suneñ
vo naġhme havāoñ meñ gaūñjīñ sote hue jazbe jaag uTheñ
ujḌī huī bastī ko dil kī yuuñ ahl-e-vatan ābād kareñ
ulfat kā sar meñ saudā hai jazbāt kā tūfāñ barpā hai
ghar ghar meñ prem kī gañgā ho shā.ir ke dil kī tamannā hai
har shaḳhs ho vajd ke aalam meñ ik dilkash raag laboñ par ho
rūhānī naġhme sun sun kar bedār bashar kā muqaddar ho
āñkhoñ ke sāmne duniyā meñ ik sachche prem kā manzar ho
ik uns-o-mohabbat kā aalam aalam meñ aaj sarāsar ho
ulfat kā sar meñ saudā hai jazbāt kā tūfāñ barpā hai
ghar ghar meñ prem kī gañgā ho shā.ir ke dil kī tamannā hai
jalvoñ se husn-e-azal ke ab sab ḳhurd-o-kalāñ pur-nūr raheñ
mai pī ke ishq-e-haqīqī kī ulfat ke nashe meñ chuur raheñ
duniyā meñ rah kar duniyā ke jhagḌoñ se kosoñ duur raheñ
ham pyāre kirshn kī bhagTī meñ sarshār raheñ masrūr raheñ
ulfat kā sair meñ saudā hai jazbāt kā tūfāñ barpā hai
ghar ghar meñ prem kī gañgā ho shā.ir ke dil kī tamannā hai
miT jaen mulk se bughz-o-hasad aur dil mein watan ki izzat ho
daman mein fazaon ke har ja ek amn-o-sukun ki sarwat ho
sine hon pak kudurat se har lab par naghma-e-ulfat ho
firdaus-e-barin ka namuna phir duniya mein pyara bhaarat ho
ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai
ai bhaarat mata lal tere is daur-e-KHizan mein sambhal jaen
sanche mein prem aur uns ke ab sab hindu muslim Dhal jaen
naghmon se sachchi mohabbat ke duniya ki fazaen badal jaen
ye manzar dekh ke ulfat ke aansu aankhon se nikal jaen
ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai
wo mulk hai duniya se achchha jo rashk-e-jinan kahlata hai
aaram-o-rahat ki chizen sab jis mein insan pata hai
ai murli-dhar ki janm-bhumi tu sare sukhon ki data hai
hum teri aan pe marte hain to pyari bhaarat-mata hai
ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai
bhar bhar ke jam-e-mohabbat ke mai-KHana-dahr mein KHub piyen
gokul mein nand ka lala ho murli ki pyari Ter sunen
wo naghme hawaon mein gaunjin sote hue jazbe jag uThen
ujDi hui basti ko dil ki yun ahl-e-watan aabaad karen
ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai
har shaKHs ho wajd ke aalam mein ek dilkash rag labon par ho
ruhani naghme sun sun kar bedar bashar ka muqaddar ho
aankhon ke samne duniya mein ek sachche prem ka manzar ho
ek uns-o-mohabbat ka aalam aalam mein aaj sarasar ho
ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai
jalwon se husn-e-azal ke ab sab KHurd-o-kalan pur-nur rahen
mai pi ke ishq-e-haqiqi ki ulfat ke nashe mein chur rahen
duniya mein rah kar duniya ke jhagDon se koson dur rahen
hum pyare kirshn ki bhagTi mein sarshaar rahen masrur rahen
ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.