shair
ḳhaak ke zarroñ ko tanvīr-e-nazar detā hai vo
phuul kī pattī ko lohe kā jigar detā hai vo
jab use mahmez kartī hai taḳhayyul kī adā
zulmat-e-shab ko tajallī-e-sahar detā hai vo
sāzish-e-barbādi-e-ālam jahāñ jab bhī huī
saarī duniyā jaag jaatī hai ḳhabar detā hai vo
jab rag-e-jamhūriyat ko kāTne baḌhtā hai zulm
be-gunāhī sabr kartī hai asar detā hai vo
is qadar fitrat ke husn-e-dilrubā par hai fidā
tālib-e-sar ho agar fitrat to sar detā hai vo
ḳhud tahī-dāman sahī lekin zar-e-iḳhlās se
dāman-e-tahzīb-e-insānī ko bhar detā hai vo
azmat-e-ādam se kar ke munzabit apnā suḳhan
ġham-zadoñ ko jur.at-e-zauq-e-safar detā hai vo
maut ko tasḳhīr kar ke quvvat-e-idrāk se
murdanī chehroñ ko jiine kā hunar detā hai vo
qalb-e-shā.ir ko milī haiñ ishq kī sab barkateñ
ishq hī se qalb-e-āhan mom kar detā hai vo
KHak ke zarron ko tanwir-e-nazar deta hai wo
phul ki patti ko lohe ka jigar deta hai wo
jab use mahmez karti hai taKHayyul ki ada
zulmat-e-shab ko tajalli-e-sahar deta hai wo
sazish-e-barbaadi-e-alam jahan jab bhi hui
sari duniya jag jati hai KHabar deta hai wo
jab rag-e-jamhuriyat ko kaTne baDhta hai zulm
be-gunahi sabr karti hai asar deta hai wo
is qadar fitrat ke husn-e-dilruba par hai fida
talib-e-sar ho agar fitrat to sar deta hai wo
KHud tahi-daman sahi lekin zar-e-iKHlas se
daman-e-tahzib-e-insani ko bhar deta hai wo
azmat-e-adam se kar ke munzabit apna suKHan
gham-zadon ko jurat-e-zauq-e-safar deta hai wo
maut ko tasKHir kar ke quwwat-e-idrak se
murdani chehron ko jine ka hunar deta hai wo
qalb-e-shair ko mili hain ishq ki sab barkaten
ishq hi se qalb-e-ahan mom kar deta hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.