shair ki duniya
gul-o-gulzār ke manzar vo sheroñ meñ dikhātā hai
vo apne hī ḳhayāloñ kī na.ī duniyā basātā hai
fazā-e-qudrat-e-haq meñ sadā ābād hotā hai
ḳhudā kī qudratoñ ko dekh kar dil shaad hotā hai
vo goyā ek kuuze meñ hī dariyā band kartā hai
vo do lafzoñ meñ qudrat kā tamāshā band kartā hai
gulistāñ meñ kabhī bulbul-sifat mahv-e-tarannum hai
kabhī mahfil meñ jā jā kar vo masrūf-e-takallum hai
sadā rāh-e-ḳhudā meñ baḳhshne kā hai ḳhayāl us ko
kafan ke vāste kauḌī bhī rakhnī hai muhāl us ko
kisī ko dard meñ dekhe to dil meñ dard paidā ho
kisī majbūrī-e-hālat pe āh-e-sard paidā ho
nahīñ dil meñ tamanna us ke kuchh shān-e-amīrī kī
sadā dil shaad rakhtī hai use lazzat faqīrī kī
zamāne ne nahīñ dekhā koī ḳhuddār shā.ir sā
ġharaz koī nahīñ ehsān-nā-bardār shā.ir sā
rifāqat desh kī kartā hai us kā āshnā ban kar
dikhātā qaum ko rasta hai us kā rahnumā ban kar
gul-o-gulzar ke manzar wo sheron mein dikhata hai
wo apne hi KHayalon ki nai duniya basata hai
faza-e-qudrat-e-haq mein sada aabaad hota hai
KHuda ki qudraton ko dekh kar dil shad hota hai
wo goya ek kuze mein hi dariya band karta hai
wo do lafzon mein qudrat ka tamasha band karta hai
gulistan mein kabhi bulbul-sifat mahw-e-tarannum hai
kabhi mahfil mein ja ja kar wo masruf-e-takallum hai
sada rah-e-KHuda mein baKHshne ka hai KHayal us ko
kafan ke waste kauDi bhi rakhni hai muhaal us ko
kisi ko dard mein dekhe to dil mein dard paida ho
kisi majburi-e-haalat pe aah-e-sard paida ho
nahin dil mein tamanna us ke kuchh shan-e-amiri ki
sada dil shad rakhti hai use lazzat faqiri ki
zamane ne nahin dekha koi KHuddar shair sa
gharaz koi nahin ehsan-na-bardar shair sa
rifaqat desh ki karta hai us ka aashna ban kar
dikhata qaum ko rasta hai us ka rahnuma ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.