shair ki iltija
payām-e-shauq ko soz-e-asar de
navā meñ aag kī tāsīr bhar de
hukūmat kā nahīñ maiñ ārzū-mand
na ye kahtā huuñ jāh-o-māl-o-zar de
atā kar lafz-o-ma.anī ke javāhar
dur-e-nāyāb lā-sānī guhar de
dil-e-tīra ko rakh āgāh-e-fitrat
savād-e-chashm ko husn-e-nazar de
qamar kī raushnī ḳhurshed kī zau
sukūt-e-shām naġhmāt-e-sahar de
payām-e-shauq ko soz-e-asar de
navā meñ aag kī tāsīr bhar de
payam-e-shauq ko soz-e-asar de
nawa mein aag ki tasir bhar de
hukumat ka nahin main aarzu-mand
na ye kahta hun jah-o-mal-o-zar de
ata kar lafz-o-mani ke jawahar
dur-e-nayab la-sani guhar de
dil-e-tira ko rakh aagah-e-fitrat
sawad-e-chashm ko husn-e-nazar de
qamar ki raushni KHurshed ki zau
sukut-e-sham naghmat-e-sahar de
payam-e-shauq ko soz-e-asar de
nawa mein aag ki tasir bhar de
- Dhoop Chhaon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.