shair ki tamanna
ai malika-e-afkār daraḳhshān-e-taḳhayyul
ai chāñdnī-e-zulmat-e-shab jān-e-taġhazzul
kis naam kis alfāz se maiñ tujh ko navāzūñ
kis tarah tujhe nazm ke sāñche meñ Dhālūñ
maḳhmal sā badan nuqta-o-ḳhat phuul hai jis kā
ye tarz-e-nigārish ki nazar jhuum rahī hai
ye chāñd sitāre haiñ tirī raah meñ bikhre
ye kāhkashāñ tere qadam chuum rahī hai
har sher kī tū shaan hai shaukat hai hasham hai
mauzūa pe tere hī ravāñ merā qalam hai
tābānī-e-peshānī se raushan haiñ sitāre
sahbā se haiñ labrez tirī āñkhoñ ke pyāle
palkoñ kī banāvaT meñ nihāñ kāsa-e-lab hai
miinā se mushābah hai surāhī-numā gardan
chehre kī tajallī se numūd-e-saharī hai
ye shaam hai to tere hī gesū ke sabab se
dariyā meñ talātum hai to bas tere hī lab se
qudrat ne sajā rakhe haiñ motī jo dahan meñ
hai hiire zamurrad kī misāl in se hī raushan
hoñToñ se tabassum kī lahar chhūT rahī hai
aariz ke gulāboñ se shafaq phuuT rahī hai
dariyā-e-mohabbat ke kināre kī qasam sun
añgusht-e-hinā.ī ke ishāre kī qasam sun
tū hai to mirī zindagī ābād bahut hai
jo tū nahīñ to zindagī barbād bahut hai
hai tamkanat-e-fasl-e-bahār ek tujhī se
har chehra-e-gul par hai nikhār ek tujhī se
ab haar ho yā jiit mujhe is se ġharaz kyā
ik tere liye maiñ ye juā khel rahā huuñ
aa dekh salāḳhoñ se mire karb kā aalam
ik umr se furqat kī sazā jhel rahā huuñ
ai jān-e-bahār aan ke gulshan ko sajā de
is ujḌe bayābāñ ko chaman-zār banā de
ai faḳhr-e-vafā nāz-e-asad shān-e-tahammul
ye nazm nahīñ jhiil meñ kāġhaz kī kañval hai
ḳhurram to nahīñ maiñ ki tujhe tāj-mahal duuñ
ai jān-e-ġhazal tere liye shām-e-ġhazal hai
ai malika-e-afkār daraḳhshān-e-taḳhayyul
ai chāñdnī-e-zulmat-e-shab jān-e-taġhazzul
kis naam kin alfāz se maiñ tujh ko navāzūñ
kis tarah tujhe nazm ke sāñche meñ maiñ Dhālūñ
qudrat kī baḌī den hai tū shai hī ajab hai
shā.ir kī tamannā hai taqāzā hai talab hai
ai malika-e-afkar daraKHshan-e-taKHayyul
ai chandni-e-zulmat-e-shab jaan-e-taghazzul
kis nam kis alfaz se main tujh ko nawazun
kis tarah tujhe nazm ke sanche mein Dhaalun
maKHmal sa badan nuqta-o-KHat phul hai jis ka
ye tarz-e-nigarish ki nazar jhum rahi hai
ye chand sitare hain teri rah mein bikhre
ye kahkashan tere qadam chum rahi hai
har sher ki tu shan hai shaukat hai hasham hai
mauzua pe tere hi rawan mera qalam hai
tabani-e-peshani se raushan hain sitare
sahba se hain labrez teri aankhon ke pyale
palkon ki banawaT mein nihan kasa-e-lab hai
mina se mushabah hai surahi-numa gardan
chehre ki tajalli se numud-e-sahari hai
ye sham hai to tere hi gesu ke sabab se
dariya mein talatum hai to bas tere hi lab se
qudrat ne saja rakhe hain moti jo dahan mein
hai hire zamurrad ki misal in se hi raushan
honTon se tabassum ki lahar chhuT rahi hai
aariz ke gulabon se shafaq phuT rahi hai
dariya-e-mohabbat ke kinare ki qasam sun
angusht-e-hinai ke ishaare ki qasam sun
tu hai to meri zindagi aabaad bahut hai
jo tu nahin to zindagi barbaad bahut hai
hai tamkanat-e-fasl-e-bahaar ek tujhi se
har chehra-e-gul par hai nikhaar ek tujhi se
ab haar ho ya jit mujhe is se gharaz kya
ek tere liye main ye jua khel raha hun
aa dekh salaKHon se mere karb ka aalam
ek umr se furqat ki saza jhel raha hun
ai jaan-e-bahaar aan ke gulshan ko saja de
is ujDe bayaban ko chaman-zar bana de
ai faKHr-e-wafa naz-e-asad shan-e-tahammul
ye nazm nahin jhil mein kaghaz ki kanwal hai
KHurram to nahin main ki tujhe taj-mahal dun
ai jaan-e-ghazal tere liye sham-e-ghazal hai
ai malika-e-afkar daraKHshan-e-taKHayyul
ai chandni-e-zulmat-e-shab jaan-e-taghazzul
kis nam kin alfaz se main tujh ko nawazun
kis tarah tujhe nazm ke sanche mein main Dhaalun
qudrat ki baDi den hai tu shai hi ajab hai
shair ki tamanna hai taqaza hai talab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.