shair
saarī duniyā sau rahī hai aur tū bedār hai
duur hai rāhat se aur lazzat-kash-e-āzār hai
le rahā hai zarre zarre se tū ibrat kā sabaq
ya.anī har har gaam par hotā hai siina terā shaq
terī nazreñ dekhtī haiñ intihā āġhāz meñ
mahv ho jaatā hai jab tū inkishāf-e-rāz meñ
zāhirī rañj-o-alam se dil tirā begāna hai
inkishāf-e-rāz-e-yazdānī kā to dīvāna hai
muztarib hotī hai terī ruuh lahreñ dekh kar
tū samajhtā hai unhīñ se kyā hai anjām-e-bashar
dekh kar phūloñ ko rotā hai kabhī tū zaar zaar
vajd meñ kartā hai apnā hī garebāñ taar taar
qatra-e-shabnam haiñ goyā ik kitāb-e-zindagī
dekhtā hai jis ko to paḌh paḌh ke ḳhvāb-e-zindagī
to hai akkās-e-azal fitrat meñ terī dard hai
go ba-zāhir ḳhush hai lekin lab pe āh-e-sard hai
tū ne fitrat ke sabaq ko phir se dohrāyā yahāñ
āshkārā kar diye jo raaz the ab tak nihāñ
fitrat-e-ḳhvābīda ko bedār kar detā hai tū
zindagī se aish kī bezār kar detā hai tū
mast ho jaatā hai tū abr-e-siyah ko dekh kar
chashmakoñ se barq kī letā hai tū kyā kyā asar
ai ki terī zaat se hai raunaq-e-bazm-e-jahāñ
ai ki hastī hai tirī sarmāya-dār-e-kun-fakāñ
ai ki tirī zaat se hai raunaq-e-bazm-e-shuhūd
ai ki tere rañg se har shai meñ hai rañg-e-numūd
tū na hotā to na hotā ye jahān-e-rañg-o-bū
tū na hotā to na hotī husn kī kuchh aabrū
tū na hotā to na hote munkashif rāz-e-hayāt
tū na hotā to na hotā naqsh-e-fānī ko sabāt
sari duniya sau rahi hai aur tu bedar hai
dur hai rahat se aur lazzat-kash-e-azar hai
le raha hai zarre zarre se tu ibrat ka sabaq
yani har har gam par hota hai sina tera shaq
teri nazren dekhti hain intiha aaghaz mein
mahw ho jata hai jab tu inkishaf-e-raaz mein
zahiri ranj-o-alam se dil tera begana hai
inkishaf-e-raaz-e-yazdani ka to diwana hai
muztarib hoti hai teri ruh lahren dekh kar
tu samajhta hai unhin se kya hai anjam-e-bashar
dekh kar phulon ko rota hai kabhi tu zar zar
wajd mein karta hai apna hi gareban tar tar
qatra-e-shabnam hain goya ek kitab-e-zindagi
dekhta hai jis ko to paDh paDh ke KHwab-e-zindagi
to hai akkas-e-azal fitrat mein teri dard hai
go ba-zahir KHush hai lekin lab pe aah-e-sard hai
tu ne fitrat ke sabaq ko phir se dohraya yahan
aashkara kar diye jo raaz the ab tak nihan
fitrat-e-KHwabida ko bedar kar deta hai tu
zindagi se aish ki bezar kar deta hai tu
mast ho jata hai tu abr-e-siyah ko dekh kar
chashmakon se barq ki leta hai tu kya kya asar
ai ki teri zat se hai raunaq-e-bazm-e-jahan
ai ki hasti hai teri sarmaya-dar-e-kun-fakan
ai ki teri zat se hai raunaq-e-bazm-e-shuhud
ai ki tere rang se har shai mein hai rang-e-numud
tu na hota to na hota ye jahan-e-rang-o-bu
tu na hota to na hoti husn ki kuchh aabru
tu na hota to na hote munkashif raaz-e-hayat
tu na hota to na hota naqsh-e-fani ko sabaat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.