vo pul kī sātvīñ sīḌhī pe baiThā kahtā rahtā thā
kisī thaile meñ bhar ke gar ḳhayāl apne
maiñ darvāze pe harkāre kī sūrat jā ke pahuñchātā
chamaktī būñdeñ bārish kī kisī kī jeb meñ bhar ke
gale meñ bādaloñ kā ek muflar Daal kar aatā
vo bhīgā bhīgā sā rahtā
kisī ke kaan meñ do bāliyoñ se chāñd pahnātā
machheroñ kī koī laḌkī agar miltī
garajte bādaloñ ko bāñdh kar bāloñ ke joḌe meñ
dhanak kī biinī de aatā
mujhe gar kahkashāñ ko bāñTne kā haq diyā hotā ḳhudā ne to
koī fōtpath se bolā
ai aulād shā.ir kī
bahut khaa.ī haiñ rūkhī roTiyāñ maiñ ne
jo lā saktā hai to ik baar kuchh sālan hī lā kar de
wo pul ki satwin siDhi pe baiTha kahta rahta tha
kisi thaile mein bhar ke gar KHayal apne
main darwaze pe harkare ki surat ja ke pahunchata
chamakti bunden barish ki kisi ki jeb mein bhar ke
gale mein baadalon ka ek muflar Dal kar aata
wo bhiga bhiga sa rahta
kisi ke kan mein do baaliyon se chand pahnata
machheron ki koi laDki agar milti
garajte baadalon ko bandh kar baalon ke joDe mein
dhanak ki bini de aata
mujhe gar kahkashan ko banTne ka haq diya hota KHuda ne to
koi footpath se bola
ai aulad shair ki
bahut khai hain rukhi roTiyan main ne
jo la sakta hai to ek bar kuchh salan hi la kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.