shairi
insānoñ ke dil meñ bachchoñ
ik pyaar kā dariyā bahtā hai
jo aañkh se ojhal rahtā hai
lekin duniyā meñ kabhī-kabhī
lagtā hai kuchh itnā achchhā
vo chāñd kī jhilmil kirneñ hoñ
yā rim-jhim paanī bārish kā
yā aisā ho insān koī
jo itnā pyārā hameñ lage
ham bol nahīñ kuchh paate haiñ
chup-chāp khaḌe rah jaate haiñ
tab ek anokhe jaadū se
bārish hotī hai lafzoñ kī
jo giit rasīlā gaate haiñ
aur ham shā.ir ban jaate haiñ
jab dil par choT lage gahrī
aur aañsū piinā mushkil ho
āsān lage bas mar jaanā
dukh sah kar jiinā mushkil ho
tab ek anokhe jaadū se
hotī hai bārish lafzoñ kī
jo giit rasīlā gaate haiñ
aur ham shā.ir ban jaate haiñ
thā koī zamāna jab shā.ir
jādūgar samjhe jaate the
kyā sach-much haiñ vo jādūgar
ye bhed kisī ne kab paayā
ik baat magar sab ne maanī
jab dil se nikle sher koī
kar detā hai ham par jaadū
vo sab ko achchhā lagtā hai
aur bilkul sachchā lagtā hai
insanon ke dil mein bachchon
ek pyar ka dariya bahta hai
jo aankh se ojhal rahta hai
lekin duniya mein kabhi-kabhi
lagta hai kuchh itna achchha
wo chand ki jhilmil kirnen hon
ya rim-jhim pani barish ka
ya aisa ho insan koi
jo itna pyara hamein lage
hum bol nahin kuchh pate hain
chup-chap khaDe rah jate hain
tab ek anokhe jadu se
barish hoti hai lafzon ki
jo git rasila gate hain
aur hum shair ban jate hain
jab dil par choT lage gahri
aur aansu pina mushkil ho
aasan lage bas mar jaana
dukh sah kar jina mushkil ho
tab ek anokhe jadu se
hoti hai barish lafzon ki
jo git rasila gate hain
aur hum shair ban jate hain
tha koi zamana jab shair
jadugar samjhe jate the
kya sach-much hain wo jadugar
ye bhed kisi ne kab paya
ek baat magar sab ne mani
jab dil se nikle sher koi
kar deta hai hum par jadu
wo sab ko achchha lagta hai
aur bilkul sachcha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.