shairi
koī ta.āruf huā nahīñ
nahīñ koī āshnā.ī bhī
hotī hai tabhī hairat shā.iroñ pe
tasavvurāt kī parchhā.iyoñ ko
ek vajūd de paate haiñ kaise
aur taḳhayyul ke parindoñ ko
kore saf.he par qaid kar paate haiñ kaise
vo harf jo sirf harf hī the
juḌ kar kis Dor se
pur-asar ash.ār ban ga.e
chand bikhre hue be-matlab lafz
simaT kar ik dā.ere meñ kaise
nazm-o-ġhazal ban ga.e
ye hunar gir har insān meñ hotā
zindagī kitnī ḳhush-gavār hotī hai
aur is jahāñ kī har shai
qābil-e-mohabbat hotī
magar shā.irī hai us fan kā naam
jise taqsīm karne meñ
dikhā.ī hai tañg-dilī ḳhudā ne bhī
koi taaruf hua nahin
nahin koi aashnai bhi
hoti hai tabhi hairat shairon pe
tasawwuraat ki parchhaiyon ko
ek wajud de pate hain kaise
aur taKHayyul ke parindon ko
kore safhe par qaid kar pate hain kaise
wo harf jo sirf harf hi the
juD kar kis Dor se
pur-asar ashaar ban gae
chand bikhre hue be-matlab lafz
simaT kar ek daere mein kaise
nazm-o-ghazal ban gae
ye hunar gir har insan mein hota
zindagi kitni KHush-gawar hoti hai
aur is jahan ki har shai
qabil-e-mohabbat hoti
magar shairi hai us fan ka nam
jise taqsim karne mein
dikhai hai tang-dili KHuda ne bhi
- Book : Khwaahish-e-Parwaaz Urge to Fly (Pg. 33)
- Author : Aditya Pant Naaqid
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.