sham
din kī gahrī dhuup ne
jo jo ghaav diye haiñ
in meñ mere dard kā koī bhed na DhūñDo
mere dukh to an-dekhe haiñ
dekho
is dīvār ke pīchhe
barsoñ kī nafrat se ghāyal
thakī huī an-jānī yādeñ
patiyāñ ban ke bikhar ga.ī haiñ
duur ākāsh ke us kone meñ
ek mailī chādar meñ lipTī shaam khaḌī hai
aao chaleñ us shaam kī chādar meñ chhup jaa.eñ
shaam jo ham dukhiyoñ kī maañ hai
din ki gahri dhup ne
jo jo ghaw diye hain
in mein mere dard ka koi bhed na DhunDo
mere dukh to an-dekhe hain
dekho
is diwar ke pichhe
barson ki nafrat se ghayal
thaki hui an-jaani yaaden
patiyan ban ke bikhar gai hain
dur aakash ke us kone mein
ek maili chadar mein lipTi sham khaDi hai
aao chalen us sham ki chadar mein chhup jaen
sham jo hum dukhiyon ki man hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.