sham
dhīre dhīre shaam aa rahī hai
raat kī kitāboñ meñ
pat-jhaḌoñ kī sāñsoñ meñ
dhundlī dhundlī āñkhoñ meñ raat baḌhtī jā rahī hai
niiñd ek gaañv hai
niiñd kī talāsh meñ
āvāzeñ aa rahī haiñ
paañv khaḌā.ūñ pahne sat sat gā rahe haiñ
pīpal ke paat hare dhīre dhīre gir rahe haiñ
ka.ī haath baḌh rahe haiñ
shak vaale rang liye moroñ ke pañkhoñ se sabhyatā ko likh rahe haiñ
pīpal ke paat hare dhīre dhīre gir rahe haiñ
maaTī ke Dible meñ pho.e pho.e jal rahe haiñ
pīpal ke paat hare dhīre dhīre gir rahe haiñ
dhīre dhīre gir rahe haiñ
dhīre dhīre shaam aa rahī hai
miTTī barasne ke shañkh chīḳhne lage haiñ
mard sab kapās se bañdhe hue
saral sapāT uñgliyoñ se
apne apne ghar ke sā.ebān meñ
apne apne devtāoñ kī shabīheñ likh rahe haiñ
āsanoñ ke ramz meñ guñdhī huī tamām aurteñ bhī aa ga.ī haiñ
aurteñ hatheliyoñ se chāñd bun rahī haiñ
duudh kī kaToriyoñ se sūrajoñ kī ātmā.eñ math rahī haiñ
dhīre dhīre jal rahī haiñ
dhīre dhīre bujh rahī haiñ
dhīre dhīre shaam aa rahī hai
dhire dhire sham aa rahi hai
raat ki kitabon mein
pat-jhaDon ki sanson mein
dhundli dhundli aankhon mein raat baDhti ja rahi hai
nind ek ganw hai
nind ki talash mein
aawazen aa rahi hain
panw khaDaun pahne sat sat ga rahe hain
pipal ke pat hare dhire dhire gir rahe hain
kai hath baDh rahe hain
shak wale rang liye moron ke pankhon se sabhyata ko likh rahe hain
pipal ke pat hare dhire dhire gir rahe hain
maTi ke Dible mein phoe phoe jal rahe hain
pipal ke pat hare dhire dhire gir rahe hain
dhire dhire gir rahe hain
dhire dhire sham aa rahi hai
miTTi barasne ke shankh chiKHne lage hain
mard sab kapas se bandhe hue
saral sapaT ungliyon se
apne apne ghar ke saeban mein
apne apne dewtaon ki shabihen likh rahe hain
aasanon ke ramz mein gundhi hui tamam aurten bhi aa gai hain
aurten hatheliyon se chand bun rahi hain
dudh ki kaToriyon se surajon ki aatmaen math rahi hain
dhire dhire jal rahi hain
dhire dhire bujh rahi hain
dhire dhire sham aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.