sham-e-ayaadat
Interesting Fact
(august 1943) civil hospital allahabad men bistar-e-alaalat se
ye kaun muskurāhaToñ kā kārvāñ liye hue
shabāb-e-sher-o-rañg-o-nūr kā dhuāñ liye hue
dhuāñ ki barq-e-husn kā mahaktā sho.ala hai koī
chaTīlī zindagī kī shādmāniyāñ liye hue
laboñ se pañkhuḌī gulāb kī hayāt māñge hai
kañval sī aañkh sau nigāh-e-mehrbāñ liye hue
qadam qadam pe de uThī hai lau zamīn-e-rah-guzar
adā adā meñ be-shumār bijliyāñ liye hue
nikalte baiThte dinoñ kī āhaTeñ nigāh meñ
rasīle hoñT fasl-e-gul kī dāstāñ liye hue
ḳhutūt-e-ruḳh meñ jalva-gar vafā ke naqsh sar-ba-sar
dil-e-ġhanī meñ kul hisāb-e-dostāñ liye hue
vo muskurātī āñkheñ jin meñ raqs kartī hai bahār
shafaq kī gul kī bijliyoñ kī shoḳhiyāñ liye hue
adā-e-husn barq-pāsh shola-zan nazāra-soz
fazā-e-husn uudī uudī bijliyāñ liye hue
jagāne vaale naġhma-e-sahar laboñ pe maujzan
nigāheñ niiñd laane vaalī loriyāñ liye hue
vo nargis-e-siyāh-e-nīm-bāz, mai-kada-ba-dosh
hazār mast rātoñ kī javāniyāñ liye hue
taġhāful-o-ḳhumār aur be-ḳhudī kī oT meñ
nigāheñ ik jahāñ kī hoshiyāriyāñ liye hue
harī-bharī ragoñ meñ vo chahaktā boltā lahū
vo sochtā huā badan ḳhud ik jahāñ liye hue
za-farq tā-qadam tamām chehra jism-e-nāznīñ
latīf jagmagāhaToñ kā kārvāñ liye hue
tabassumash takallume takallumash tarannume
nafas nafas meñ thartharātā sāz-e-jāñ liye hue
jabīn-e-nūr jis pe paḌ rahī hai narm chhūT sī
ḳhud apnī jagmagāhToñ kī kahkashāñ liye hue
''sitāra-bār o mah-chakāñ o ḳhūr-fishāñ'' jamāl-e-yār
jahān-e-nūr kārvāñ-ba-kārvāñ liye hue
vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham shamīm-e-mast se dhuāñ dhuāñ
vo ruḳh chaman chaman bahār-e-jāvedāñ liye hue
ba-mastī-e-jamāl-e-kā.enāt, ḳhvāb-e-kā.enāt
ba-gardish-e-nigāh daur-e-āsmāñ liye hue
ye kaun aa gayā mire qarīb uzv uzv meñ
javāniyāñ, javāniyoñ kī āñdhiyāñ liye hue
ye kaun aañkh paḌ rahī hai mujh par itne pyaar se
vo bhūlī sī vo yaad sī kahāniyāñ liye hue
ye kis kī mahkī mahkī sāñseñ taaza kar ga.iiñ dimāġh
shaboñ ke raaz nūr-e-mah kī narmiyāñ liye hue
ye kin nigāhoñ ne mire gale meñ bāheñ Daal diiñ
jahān bhar ke dukh se dard se amaañ liye hue
nigāh-e-yār de ga.ī mujhe sukūn-e-be-karāñ
vo be-kahī vafāoñ kī gavāhiyāñ liye hue
mujhe jagā rahā hai maut kī ġhunūdgī se kaun
nigāhoñ meñ suhāg-rāt kā samāñ liye hue
mirī fasurda aur bujhī huī jabīñ ko chhū liyā
ye kis nigāh kī kiran ne sāz-e-jāñ liye hue
sute se chehre par hayāt rasmasātī muskurātī
na jaane kab ke āñsuoñ kī dāstāñ liye hue
tabassum-e-sahar hai aspatāl kī udaas shaam
ye kaun aa gayā nashāt-e-be-karāñ liye hue
tire na aane tak agarche mehrbāñ thā ik jahāñ
maiñ ro ke rah gayā huuñ sau ġham-e-nihāñ liye hue
zamīn muskurā uThī ye shaam jagmagā uThī
bahār lahlhā uThī shamīm-e-jāñ liye hue
fazā-e-aspatāl hai ki rañg-o-bū kī karvaTeñ
tire jamāl-e-lāla-gūñ kī dāstāñ liye hue
'firāq' aaj pichhlī raat kyuuñ na mar rahūñ ki ab
hayāt aisī shāmeñ hogī phir kahāñ liye hue
(2)
magar nahīñ kuchh aur maslahat thī us ke aane meñ
jamāl-o-dīd-e-yār the nayā jahāñ liye hue
isī na.e jahāñ meñ aadmī baneñge aadmī
jabīñ pe shāhkār-e-dahr kā nishāñ liye hue
isī na.e jahāñ meñ aadmī baneñge devtā
tahāratoñ kā farq-e-pāk par nishāñ liye hue
ḳhudā.ī aadmī kī hogī is na.e jahān par
sitāroñ ke haiñ dil ye pesh-goīyañ liye hue
sulagte dil sharar-fishāñ o sho.ala-bār barq-pāsh
guzarte din hayāt-e-nau kī surḳhiyāñ liye hue
tamām qaul aur qasam nigāh-e-nāz-e-yār thī
tulū-e-zindagī-e-nau kī dāstāñ liye hue
nayā janam huā mirā ki zindagī na.ī milī
jiyūñgā shām-e-dīd kī nishāniyāñ liye hue
na dekhā aañkh uThā ke ahd-e-nau ke parda-dāroñ ne
guzar gayā zamāna yād-e-raftagāñ liye hue
ham inqilābiyoñ ne ye jahāñ bachā liyā magar
abhī hai ik jahāñ vo bad-gumāniyāñ liye hue
(3)
na.e zamāne meñ agar udaas ḳhud ko pā.ūñgā
ye shaam yaad kar ke apne ġham ko bhuul jā.ūñgā
ayādat-e-habīb se vo aaj zindagī milī
ḳhushī bhī chauñk chauk uThī ġham kī aañkh khul ga.ī
agarche doctor ne mujh ko maut se bachā liyā
par is ke ba.ad us nigāh ne mujhe jilā liyā
nigāh-e-yār tujh se apnī manzileñ maiñ pā.ūñgā
tujhe jo bhuul jā.ūñgā to raah bhuul jā.ūñgā
(4)
qarīb-tar maiñ ho chalā huuñ dukh kī kā.enāt se
maiñ ajnabī nahīñ rahā hayāt se mamāt se
vo dukh sahe ki mujh pe khul gayā hai dard-e-kā.enāt
hai apne āñsuoñ se mujh pe ā.īna ġham-e-hayāt
ye be-qusūr jān-dār dard jhelte hue
ye ḳhāk-o-ḳhūñ ke putle apnī jaañ pe khelte hue
vo ziist kī karāh jis se be-qarār hai fazā
vo zindagī kī aah jis se kaañp uThtī hai fazā
kafan hai āñsuoñ kā dukh kī maarī kā.enāt par
hayāt kyā inheñ haqīqatoñ se honā be-ḳhabar
jo aañkh jāgtī rahī hai aadmī kī maut par
vo abr-e-rañg-rañg ko bhī dekhtī hai sāda-tar
sikhā gayā dukh mirā purānī piir jānñā
nigāh-e-yār thī jahāñ bhī aaj merī rahnumā
yahī nahīñ ki mujh ko aaj zindagī na.ī milī
haqīqat-e-hayāt mujh pe sau tarah se khul ga.ī
gavāh hai ye shaam aur nigāh-e-yār hai gavāh
ḳhayāl-e-maut ko maiñ apne dil meñ ab na dūñgā raah
jiyūñgā haañ jiyūñgā ai nigāh-e-āshnā-e-yār
sadā suhāg zindagī hai aur jahāñ sadā-bahār
(5)
abhī to kitne nā-shunīda naġhma-e-hayāt haiñ
abhī nihāñ diloñ se kitne rāz-e-kā.enāt haiñ
abhī to zindagī ke nā-chashīda ras haiñ saikḌoñ
abhī to haath meñ ham ahl-e-ġham ke jas haiñ saikḌoñ
abhī vo le rahī haiñ merī shā.erī meñ karvaTeñ
abhī chamakne vaalī hai chhupī huī haqīqateñ
abhī to bahr-o-bar pe so rahī haiñ merī vo sadā.eñ
sameT luuñ unheñ to phir vo kā.enāt ko jagā.eñ
abhī to ruuh ban ke zarre zarre meñ samā.ūñgā
abhī to sub.h ban ke maiñ ufuq pe thartharā.ūñgā
abhī to merī shā.erī haqīqateñ lūTā.egī
abhī mirī sadā-e-dard ik jahāñ pe chhā.egī
abhī to aadmī asīr-e-dām hai ġhulām hai
abhī to zindagī sad-inqalāb kā payām hai
abhī tamām zaḳhm o daaġh hai tamaddun-e-jahāñ
abhī ruḳh-e-bashar pe haiñ bahmiyat kī jhā.iyāñ
abhī mashiyyatoñ pe fat.h pā nahīñ sakā bashar
abhī muqaddaroñ ko bas meñ lā nahīñ sakā bashar
abhī to is dukhī jahāñ meñ maut hī kā daur hai
abhī to jis ko zindagī kaheñ vo chiiz aur hai
abhī to ḳhuun thoktī hai zindagī bahār meñ
abhī to rone kī sadā hai naġhma-e-sitār meñ
abhī to uḌtī haiñ ruḳh-e-bahār par havā.iyāñ
abhī to dīdanī haiñ har chaman kī be-fazā.iyāñ
abhī fazā-e-dahr legī karvaToñ pe karvaTeñ
abhī to sotī haiñ havāoñ kī vo sansanāhaTeñ
ki jis ko sunte hī hukūmatoñ ke rañg-e-ruḳh uḌeñ
chapeTeñ jin kī sarkashoñ kī gardaneñ maroḌ deñ
abhī to sīna-e-bashar meñ sote haiñ vo zalzale
ki jin ke jāgte hī maut kā bhī dil dahal uThe
abhī to batn-e-ġhaib meñ hai is savāl kā javāb
ḳhudā-e-ḳhair-o-shar bhī lā nahīñ sakā thā jis kī taab
abhī to god meñ haiñ devtāoñ kī vo māh-o-sāl
jo deñge baḌh ke barq-e-tūr se hayāt ko jalāl
abhī rag-e-jahāñ meñ zindagī machalne vaalī hai
abhī hayāt kī na.ī sharāb Dhalne vaalī hai
abhī chhurī sitam kī Duub kar uchhalne vaalī hai
abhī to hasrat ik jahān kī nikalne vaalī hai
abhī ghan-garaj sunā.ī degī inqalāb kī
abhī to gosh-bar-sadā hai bazm āftāb kī
abhī to pūñjī-vād ko jahān se miTānā hai
abhī to sāmrājoñ ko sazā-e-maut paanā hai
abhī to daañt pīstī hai maut shahryāroñ kī
abhī to ḳhuuñ utar rahā hai ā.ankhoñ meñ sitāroñ kī
abhī to ishtirākiyat ke jhanDe gaḌne vaale haiñ
abhī to jaḌ se kisht-o-ḳhūñ ke nazm ukhaḌne vaale haiñ
abhī kisān-o-kāmgār raaj hone vaalā hai
abhī bahut jahāñ meñ kām-kāj hone vaalā hai
magar abhī to zindagī musībatoñ kā naam hai
abhī to niiñd maut kī mire liye harām hai
ye sab payām ik nigāh meñ vo aañkh de ga.ī
ba-yak-nazar kahāñ kahāñ mujhe vo aañkh le ga.ī
ye kaun muskurahaTon ka karwan liye hue
shabab-e-sher-o-rang-o-nur ka dhuan liye hue
dhuan ki barq-e-husn ka mahakta shoala hai koi
chaTili zindagi ki shadmaniyan liye hue
labon se pankhuDi gulab ki hayat mange hai
kanwal si aankh sau nigah-e-mehrban liye hue
qadam qadam pe de uThi hai lau zamin-e-rah-guzar
ada ada mein be-shumar bijliyan liye hue
nikalte baiThte dinon ki aahaTen nigah mein
rasile honT fasl-e-gul ki dastan liye hue
KHutut-e-ruKH mein jalwa-gar wafa ke naqsh sar-ba-sar
dil-e-ghani mein kul hisab-e-dostan liye hue
wo muskuraati aankhen jin mein raqs karti hai bahaar
shafaq ki gul ki bijliyon ki shoKHiyan liye hue
ada-e-husn barq-pash shola-zan nazara-soz
faza-e-husn udi udi bijliyan liye hue
jagane wale naghma-e-sahar labon pe maujzan
nigahen nind lane wali loriyan liye hue
wo nargis-e-siyah-e-nim-baz, mai-kada-ba-dosh
hazar mast raaton ki jawaniyan liye hue
taghaful-o-KHumar aur be-KHudi ki oT mein
nigahen ek jahan ki hoshiyariyan liye hue
hari-bhari ragon mein wo chahakta bolta lahu
wo sochta hua badan KHud ek jahan liye hue
za-farq ta-qadam tamam chehra jism-e-naznin
latif jagmagahaTon ka karwan liye hue
tabassumash takallume takallumash tarannume
nafas nafas mein thartharaata saz-e-jaan liye hue
jabin-e-nur jis pe paD rahi hai narm chhuT si
KHud apni jagmagahTon ki kahkashan liye hue
sitara-bar o mah-chakan o KHur-fishan jamal-e-yar
jahan-e-nur karwan-ba-karwan liye hue
wo zulf-e-KHam-ba-KHam shamim-e-mast se dhuan dhuan
wo ruKH chaman chaman bahaar-e-jawedan liye hue
ba-masti-e-jamal-e-kaenat, KHwab-e-kaenat
ba-gardish-e-nigah daur-e-asman liye hue
ye kaun aa gaya mere qarib uzw uzw mein
jawaniyan, jawaniyon ki aandhiyan liye hue
ye kaun aankh paD rahi hai mujh par itne pyar se
wo bhuli si wo yaad si kahaniyan liye hue
ye kis ki mahki mahki sansen taza kar gain dimagh
shabon ke raaz nur-e-mah ki narmiyan liye hue
ye kin nigahon ne mere gale mein bahen Dal din
jahan bhar ke dukh se dard se aman liye hue
nigah-e-yar de gai mujhe sukun-e-be-karan
wo be-kahi wafaon ki gawahiyan liye hue
mujhe jaga raha hai maut ki ghunudgi se kaun
nigahon mein suhag-raat ka saman liye hue
meri fasurda aur bujhi hui jabin ko chhu liya
ye kis nigah ki kiran ne saz-e-jaan liye hue
sute se chehre par hayat rasmasati muskuraati
na jaane kab ke aansuon ki dastan liye hue
tabassum-e-sahar hai aspatal ki udas sham
ye kaun aa gaya nashat-e-be-karan liye hue
tere na aane tak agarche mehrban tha ek jahan
main ro ke rah gaya hun sau gham-e-nihan liye hue
zamin muskura uThi ye sham jagmaga uThi
bahaar lahlha uThi shamim-e-jaan liye hue
faza-e-aspatal hai ki rang-o-bu ki karwaTen
tere jamal-e-lala-gun ki dastan liye hue
'firaq' aaj pichhli raat kyun na mar rahun ki ab
hayat aisi shamen hogi phir kahan liye hue
(2)
magar nahin kuchh aur maslahat thi us ke aane mein
jamal-o-did-e-yar the naya jahan liye hue
isi nae jahan mein aadmi banenge aadmi
jabin pe shahkar-e-dahr ka nishan liye hue
isi nae jahan mein aadmi banenge dewta
tahaaraton ka farq-e-pak par nishan liye hue
KHudai aadmi ki hogi is nae jahan par
sitaron ke hain dil ye pesh-goiyan liye hue
sulagte dil sharar-fishan o shoala-bar barq-pash
guzarte din hayat-e-nau ki surKHiyan liye hue
tamam qaul aur qasam nigah-e-naz-e-yar thi
tulu-e-zindagi-e-nau ki dastan liye hue
naya janam hua mera ki zindagi nai mili
jiyunga sham-e-did ki nishaniyan liye hue
na dekha aankh uTha ke ahd-e-nau ke parda-daron ne
guzar gaya zamana yaad-e-raftagan liye hue
hum inqilabiyon ne ye jahan bacha liya magar
abhi hai ek jahan wo bad-gumaniyan liye hue
(3)
nae zamane mein agar udas KHud ko paunga
ye sham yaad kar ke apne gham ko bhul jaunga
ayaadat-e-habib se wo aaj zindagi mili
KHushi bhi chaunk chauk uThi gham ki aankh khul gai
agarche doctor ne mujh ko maut se bacha liya
par is ke baad us nigah ne mujhe jila liya
nigah-e-yar tujh se apni manzilen main paunga
tujhe jo bhul jaunga to rah bhul jaunga
(4)
qarib-tar main ho chala hun dukh ki kaenat se
main ajnabi nahin raha hayat se mamat se
wo dukh sahe ki mujh pe khul gaya hai dard-e-kaenat
hai apne aansuon se mujh pe aaina gham-e-hayat
ye be-qusur jaan-dar dard jhelte hue
ye KHak-o-KHun ke putle apni jaan pe khelte hue
wo zist ki karah jis se be-qarar hai faza
wo zindagi ki aah jis se kanp uThti hai faza
kafan hai aansuon ka dukh ki mari kaenat par
hayat kya inhen haqiqaton se hona be-KHabar
jo aankh jagti rahi hai aadmi ki maut par
wo abr-e-rang-rang ko bhi dekhti hai sada-tar
sikha gaya dukh mera purani pir jaanna
nigah-e-yar thi jahan bhi aaj meri rahnuma
yahi nahin ki mujh ko aaj zindagi nai mili
haqiqat-e-hayat mujh pe sau tarah se khul gai
gawah hai ye sham aur nigah-e-yar hai gawah
KHayal-e-maut ko main apne dil mein ab na dunga rah
jiyunga han jiyunga ai nigah-e-ashna-e-yar
sada suhag zindagi hai aur jahan sada-bahaar
(5)
abhi to kitne na-shunida naghma-e-hayat hain
abhi nihan dilon se kitne raaz-e-kaenat hain
abhi to zindagi ke na-chashida ras hain saikDon
abhi to hath mein hum ahl-e-gham ke jas hain saikDon
abhi wo le rahi hain meri shaeri mein karwaTen
abhi chamakne wali hai chhupi hui haqiqaten
abhi to bahr-o-bar pe so rahi hain meri wo sadaen
sameT lun unhen to phir wo kaenat ko jagaen
abhi to ruh ban ke zarre zarre mein samaunga
abhi to subh ban ke main ufuq pe thartharaunga
abhi to meri shaeri haqiqaten luTaegi
abhi meri sada-e-dard ek jahan pe chhaegi
abhi to aadmi asir-e-dam hai ghulam hai
abhi to zindagi sad-inqalab ka payam hai
abhi tamam zaKHm o dagh hai tamaddun-e-jahan
abhi ruKH-e-bashar pe hain bahmiyat ki jhaiyan
abhi mashiyyaton pe fath pa nahin saka bashar
abhi muqaddaron ko bas mein la nahin saka bashar
abhi to is dukhi jahan mein maut hi ka daur hai
abhi to jis ko zindagi kahen wo chiz aur hai
abhi to KHun thokti hai zindagi bahaar mein
abhi to rone ki sada hai naghma-e-sitar mein
abhi to uDti hain ruKH-e-bahaar par hawaiyan
abhi to didani hain har chaman ki be-fazaiyan
abhi faza-e-dahr legi karwaTon pe karwaTen
abhi to soti hain hawaon ki wo sansanahaTen
ki jis ko sunte hi hukumaton ke rang-e-ruKH uDen
chapeTen jin ki sarkashon ki gardanen maroD den
abhi to sina-e-bashar mein sote hain wo zalzale
ki jin ke jagte hi maut ka bhi dil dahal uThe
abhi to batn-e-ghaib mein hai is sawal ka jawab
KHuda-e-KHair-o-shar bhi la nahin saka tha jis ki tab
abhi to god mein hain dewtaon ki wo mah-o-sal
jo denge baDh ke barq-e-tur se hayat ko jalal
abhi rag-e-jahan mein zindagi machalne wali hai
abhi hayat ki nai sharab Dhalne wali hai
abhi chhuri sitam ki Dub kar uchhalne wali hai
abhi to hasrat ek jahan ki nikalne wali hai
abhi ghan-garaj sunai degi inqalab ki
abhi to gosh-bar-sada hai bazm aaftab ki
abhi to punji-wad ko jahan se miTana hai
abhi to samrajon ko saza-e-maut pana hai
abhi to dant pisti hai maut shahryaron ki
abhi to KHun utar raha hai aaankhon mein sitaron ki
abhi to ishtirakiyat ke jhanDe gaDne wale hain
abhi to jaD se kisht-o-KHun ke nazm ukhaDne wale hain
abhi kisan-o-kaamgar raj hone wala hai
abhi bahut jahan mein kaam-kaj hone wala hai
magar abhi to zindagi musibaton ka nam hai
abhi to nind maut ki mere liye haram hai
ye sab payam ek nigah mein wo aankh de gai
ba-yak-nazar kahan kahan mujhe wo aankh le gai
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 237)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi-6 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.