Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-e-hilal-e-eid

Arman Akbarabadi

sham-e-hilal-e-eid

Arman Akbarabadi

MORE BYArman Akbarabadi

    chāñd niklā hai ba-andāz-e-digar aaj shaam

    bārish-e-nūr hai tā-hadd-e-nazar aaj shaam

    zindagī nuur āġhosh meñ hai jalva-numā

    kitnā masrūr hai har ek bashar aaj shaam

    yuuñ to hotī hai haqīqat meñ har ik shaam hasīñ

    rahmatoñ barkatoñ vaalī hai magar aaj shaam

    misl-e-ḳhurshīd jabīnoñ pe haiñ sajdoñ ke nishāñ

    qalb-e-momin huā mānind-e-qamar aaj shaam

    haiñ ziyā-bār mohabbat ke sabhī naqsh-o-nigār

    dil duniyā hai bahāroñ nagar aaj shaam

    sūrat-e-kāhkashāñ ho ga.ī har rāhguzar

    zarra zarra nazar aatā hai guhar aaj shaam

    ahl-e-zar nahīñ muflis bhī haiñ shādāñ shādāñ

    ġham-nasīboñ ko milā ġham se mafar aaj shaam

    gulshan-e-dil meñ mahakte haiñ masarrat ke gulāb

    le ke aa.ī hai mohabbat sahar aaj shaam

    nāzish-e-rang-e-bahārāñ hai har ik nazzāra

    kitnā rangīn hai andāz-e-nazar aaj shaam

    chand nikla hai ba-andaz-e-digar aaj ki sham

    barish-e-nur hai ta-hadd-e-nazar aaj ki sham

    zindagi nur ki aaghosh mein hai jalwa-numa

    kitna masrur hai har ek bashar aaj ki sham

    yun to hoti hai haqiqat mein har ek sham hasin

    rahmaton barkaton wali hai magar aaj ki sham

    misl-e-KHurshid jabinon pe hain sajdon ke nishan

    qalb-e-momin hua manind-e-qamar aaj ki sham

    hain ziya-bar mohabbat ke sabhi naqsh-o-nigar

    dil ki duniya hai bahaaron ka nagar aaj ki sham

    surat-e-kahkashan ho gai har rahguzar

    zarra zarra nazar aata hai guhar aaj ki sham

    ahl-e-zar hi nahin muflis bhi hain shadan shadan

    gham-nasibon ko mila gham se mafar aaj ki sham

    gulshan-e-dil mein mahakte hain masarrat ke gulab

    le ke aai hai mohabbat ki sahar aaj ki sham

    nazish-e-rang-e-bahaaran hai har ek nazzara

    kitna rangin hai andaz-e-nazar aaj ki sham

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now