sham ka bhula
bhūl-bhulaiyyā galiyāñ saarī
duur talak hai ghanā añdherā
shafaq dhuñdalkā dīpak sab hī
so ga.e oḌh ke kaalī chādar
aas kī gaThrī ko palkoñ ne
nainoñ se bāhar pheñk diyā hai
sūkhī jhiil meñ koī bhī
aks utarnā nā-mumkin hai
laakh jatan vo kar le lekin
shaam ke bhūle raahī ko
har darvāza band milegā
bhul-bhulaiyya galiyan sari
dur talak hai ghana andhera
shafaq dhundalka dipak sab hi
so gae oDh ke kali chadar
aas ki gaThri ko palkon ne
nainon se bahar phenk diya hai
sukhi jhil mein koi bhi
aks utarna na-mumkin hai
lakh jatan wo kar le lekin
sham ke bhule rahi ko
har darwaza band milega
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.