sham ka manzar
shaam huī hai sūraj Duubā
rañg zamāne kā hai badlā
shaam suhānī dekho aa.ī
kaisā suhānā vaqt hai laa.ī
dil ko lubhā letā hai kaisā
chain hameñ detā hai kaisā
shaam kā achchhā achchhā manzar
dil ko lubhāne vaalā manzar
ghar ko chalā hai khetī vaalā
mehnat se sab tan hai kaalā
bail bhī chhoḌā hal bhī chhoḌā
ghar kī jānib muñh ko moḌā
hāñkā vo bailoñ ko apne
chalā vo ghar ko dhīme dhīme
khet se apne ghar ko sidhārā
legā ab ārām bechārā
bailoñ ko khūñToñ se bāñdhā
sāmne un ke bhūsa Daalā
baiThā ḳhud bachchoñ meñ jā kar
kaisā ḳhush hai us kā ghar bhar
idhar udhar se chiḌiyāñ uḌ kar
aa baiThīñ shāḳhoñ ke uupar
ab ye shab bhar leñgī baserā
sub.h ko phir khetoñ kā pherā
jhiil kināre aa kar baiThī
dam lene ko har murġhābī
tum bhī bachcho khelnā chhoḌo
apne apne ghar ko chal do
saarā din rāhat se guzrā
'jauhar' shukr karo ḳhāliq kā
sham hui hai suraj Duba
rang zamane ka hai badla
sham suhani dekho aai
kaisa suhana waqt hai lai
dil ko lubha leta hai kaisa
chain hamein deta hai kaisa
sham ka achchha achchha manzar
dil ko lubhane wala manzar
ghar ko chala hai kheti wala
mehnat se sab tan hai kala
bail bhi chhoDa hal bhi chhoDa
ghar ki jaanib munh ko moDa
hanka wo bailon ko apne
chala wo ghar ko dhime dhime
khet se apne ghar ko sidhaara
lega ab aaram bechaara
bailon ko khunTon se bandha
samne un ke bhusa Dala
baiTha KHud bachchon mein ja kar
kaisa KHush hai us ka ghar bhar
idhar udhar se chiDiyan uD kar
aa baiThin shaKHon ke upar
ab ye shab bhar lengi basera
subh ko phir kheton ka phera
jhil kinare aa kar baiThi
dam lene ko har murghabi
tum bhi bachcho khelna chhoDo
apne apne ghar ko chal do
sara din rahat se guzra
'jauhar' shukr karo KHaliq ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.