sham ka pahla tara (2)
merī us shaam ke taare se mulāqāt bahut gahrī thī
vo mirā ham-dam-e-derīna thā
maiñ bahut chhoTī thī jab maañ ne batāyā thā mujhe
''dekho dekho vo udhar vo mirī uñglī ke qarīb
ek taarā bhī tumheñ dekhtā hai''
un dinoñ jab maiñ havāoñ kī tarah uḌtī thī
aur Daalī kī tarah jhuum ke lahrātī thī
raat aur din ke lipaTne kī ghaḌī aate hī
sirf us taare kī ḳhātir maiñ Thahar jaatī thī
vo mujhe dekhtā thā
maiñ bhī use dekhtī thī
vo mujhe DhūñDhtā thā
maiñ bhī use DhūñDhtī thī
aur us īd-e-mulāqāt ke ba.ad
roz ham donoñ bichhaḌ jaate the
apnī manzil kī taraf vo bhī chalā jaatā thā
apne rastoñ kī taraf meñ bhī palaT aatī thī
merī us shaam ke taare se mulāqāt bahut gahrī thī
maiñ ne taare kī rifāqat meñ shagun kitne liye
aaj dekhā nahīñ taarā maiñ ne
aaj kī shaam jo roz aatā hai shāyad nahīñ aa.e
rāsta bhuul na jaa.e
aaj to jald nikal aayā hai taarā merā
aaj kī raat mulāqāt milegī mujh ko
an-kahe lafzoñ kī sauġhāt milegī mujh ko
maiñ ne taare kī rifāqat meñ shagun kitne liye
ab maiñ tanhā huuñ
baras biit ga.e haiñ kitne
koī taarā nahīñ dekhā maiñ ne
duur kī chiiz zarā dhundlī nazar aatī hai
merī ḳhvābīda samā.at ko jagāne ke liye
sirf āvāz-e-azāñ aatī hai
ab shagun kaahe se luuñ
kis ke aane kī umīdeñ bāñdhūñ
kis ke jaane se pareshān rahūñ
kal magar phone kī ghanTī ne mujhe
apne māhaul se bedār kiyā
zindagī se mujhe do-chār kiyā
ek amrit bharā lahja mire kānoñ meñ ghulā
''ammāñ kal shaam dikhāyā ham ne
apne bachchoñ ko chamaktā tārā''
''kaun sā taarā dikhāyā tum ne''
''aap kā shaam kā pahlā tārā''
phone jab ḳhatm huā
vaqt dinoñ hī gale milte the
maiñ ne khiḌkī se haTāyā parda
āsmāñ hadd-e-nazar tak varaq-e-sāda thā
na shafaq thī na ufuq par hī koī taarā thā
yak-ba-yak ek kiran chehre par lahrāne lagī
duur kī chiiz zarā dhundlī nazar aatī hai
merā taarā merī palkoñ par utar aayā thā
maiñ ne uñglī ke sahāre se use thaam liyā
apne āñchal meñ use bāñdh liyā
bhalā is umr meñ ye saath kise miltā hai
merī us shaam ke taare se mulāqāt bahut gahrī thī
.....mirā hamdam-e-derīna thā
meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi
wo mera ham-dam-e-derina tha
main bahut chhoTi thi jab man ne bataya tha mujhe
dekho dekho wo udhar wo meri ungli ke qarib
ek tara bhi tumhein dekhta hai
un dinon jab main hawaon ki tarah uDti thi
aur Dali ki tarah jhum ke lahraati thi
raat aur din ke lipaTne ki ghaDi aate hi
sirf us tare ki KHatir main Thahar jati thi
wo mujhe dekhta tha
main bhi use dekhti thi
wo mujhe DhunDhta tha
main bhi use DhunDhti thi
aur us id-e-mulaqat ke baad
roz hum donon bichhaD jate the
apni manzil ki taraf wo bhi chala jata tha
apne raston ki taraf mein bhi palaT aati thi
meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi
main ne tare ki rifaqat mein shagun kitne liye
aaj dekha nahin tara main ne
aaj ki sham jo roz aata hai shayad nahin aae
rasta bhul na jae
aaj to jald nikal aaya hai tara mera
aaj ki raat mulaqat milegi mujh ko
an-kahe lafzon ki saughat milegi mujh ko
main ne tare ki rifaqat mein shagun kitne liye
ab main tanha hun
baras bit gae hain kitne
koi tara nahin dekha main ne
dur ki chiz zara dhundli nazar aati hai
meri KHwabida samaat ko jagane ke liye
sirf aawaz-e-azan aati hai
ab shagun kahe se lun
kis ke aane ki umiden bandhun
kis ke jaane se pareshan rahun
kal magar phone ki ghanTi ne mujhe
apne mahaul se bedar kiya
zindagi se mujhe do-chaar kiya
ek amrit bhara lahja mere kanon mein ghula
amman kal sham dikhaya hum ne
apne bachchon ko chamakta tara
kaun sa tara dikhaya tum ne
aap ka sham ka pahla tara
phone jab KHatm hua
waqt dinon hi gale milte the
main ne khiDki se haTaya parda
aasman hadd-e-nazar tak waraq-e-sada tha
na shafaq thi na ufuq par hi koi tara tha
yak-ba-yak ek kiran chehre par lahrane lagi
dur ki chiz zara dhundli nazar aati hai
mera tara meri palkon par utar aaya tha
main ne ungli ke sahaare se use tham liya
apne aanchal mein use bandh liya
bhala is umr mein ye sath kise milta hai
meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi
mera hamdam-e-derina tha
- Book : Shaam ka pahla taara (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.