sham ka pahla tara
Interesting Fact
This nazm was dear to Zehra Nigah like her child, which was why she wrote one more part of it in old age.
jab jhoñkā tez havāoñ kā
kuchh soch ke dhīme guzrā thā
jab tapte sūraj kā chehra
uudī chādar meñ lipTā thā
jab sūkhī miTTī kā siina
sāñsoñ kī namī se jaagā thā
ham log us shaam ikaTThe the
jis ne hameñ hañs kar dekhā thā
vo pahlā dost hamārā thā
vo shaam kā pahlā taarā thā
jo shāyad ham donoñ ke liye
kuchh vaqt se pahle niklā thā
jab jhilmil kartā vo kamra
cigaret ke dhueñ se dhundlā thā
jab nashsha-e-mai kī talḳhī se!
har shaḳhs kā lahja mīThā thā
har fikr kī apnī manzil thī
har soch kā apnā rasta thā
ham log us raat ikaTThe the
us raat bhī kyā hañgāma thā
maiñ mahv-e-mudārāt-e-ālam
aur tum ko zauq-e-tamāshā thā
mauzū-e-suḳhan jis par ham ne
raa.e dī thī aur sochā thā
duniyā kī badaltī hālat thī
kuchh āb-o-havā kā qissa thā
jab sab logoñ kī āñkhoñ meñ
kamre kā dhuāñ bhar aayā thā
tab maiñ ne khiḌkī kholī thii!
tum ne parda sarkāyā thā
jis ne hameñ dukh se dekhā thā
vo pahlā dost hamārā thā
vo shaam kā pahlā taarā thā
jo shāyad ham donoñ ke liye
us raat sahar tak jaagā thā
vo shaam kā pahlā taarā thā
jab jhonka tez hawaon ka
kuchh soch ke dhime guzra tha
jab tapte suraj ka chehra
udi chadar mein lipTa tha
jab sukhi miTTi ka sina
sanson ki nami se jaga tha
hum log us sham ikaTThe the
jis ne hamein hans kar dekha tha
wo pahla dost hamara tha
wo sham ka pahla tara tha
jo shayad hum donon ke liye
kuchh waqt se pahle nikla tha
jab jhilmil karta wo kamra
cigaret ke dhuen se dhundla tha
jab nashsha-e-mai ki talKHi se!
har shaKHs ka lahja miTha tha
har fikr ki apni manzil thi
har soch ka apna rasta tha
hum log us raat ikaTThe the
us raat bhi kya hangama tha
main mahw-e-mudaraat-e-alam
aur tum ko zauq-e-tamasha tha
mauzu-e-suKHan jis par hum ne
rae di thi aur socha tha
duniya ki badalti haalat thi
kuchh aab-o-hawa ka qissa tha
jab sab logon ki aankhon mein
kamre ka dhuan bhar aaya tha
tab main ne khiDki kholi thi!
tum ne parda sarkaya tha
jis ne hamein dukh se dekha tha
wo pahla dost hamara tha
wo sham ka pahla tara tha
jo shayad hum donon ke liye
us raat sahar tak jaga tha
wo sham ka pahla tara tha
- Book : sham ka pahla tara (Pg. 15)
- Author : Zehra Nigah
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.