sham
mast ghaTā mañDlā.ī huī hai
baaġh pe mastī chhā.ī huī hai
jhuum rahī haiñ aam kī shāḳheñ
niiñd sī jaise aa.ī huī hai
boltā hai rah rah ke papīhā
barq sī ik lahrā.ī huī hai
lahke hue haiñ phuul shafaq ke
ātish-e-tar chhalkāī huī hai
sher mire ban ban ke huvaidā
qaus kī har añgḌā.ī huī hai
reñgte haiñ ḳhāmosh tarāne
mauj-e-havā bal khaa.ī huī hai
raunaq-e-ālam sar hai jhukā.e
jaise dulhan sharmā.ī huī hai
ghaas pe gum-sum baiThā hai 'kaifī'
yaad kisī kī aa.ī huī hai
mast ghaTa manDlai hui hai
bagh pe masti chhai hui hai
jhum rahi hain aam ki shaKHen
nind si jaise aai hui hai
bolta hai rah rah ke papiha
barq si ek lahrai hui hai
lahke hue hain phul shafaq ke
aatish-e-tar chhalkai hui hai
sher mere ban ban ke huwaida
qaus ki har angDai hui hai
rengte hain KHamosh tarane
mauj-e-hawa bal khai hui hai
raunaq-e-alam sar hai jhukae
jaise dulhan sharmai hui hai
ghas pe gum-sum baiTha hai 'kaifi'
yaad kisi ki aai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.