sham ki dua
shaam huī aur sūraj Duubā
raat ne apnā ḳhema Daalā
dhuup kahāñ ab hai añdhiyārā
samāñ hai ThanDā pyārā pyārā
din bhar ḳhuub paḌhe aur khele
dekhe is duniyā ke mele
yaad karo sab din kī bāteñ
kyā kyā kaam kiye the din meñ
kis ko maarā kis ko luuTā
laḌne meñ kis kā sar phūTā
kaam kiyā hai nek bhī koī
tum ne duā lī ek bhī koī
nek agar kuchh kaam kiyā hai
to samjho ye din achchhā hai
māñgo apne rab se duā.eñ
yā-rab sar se Taal balā.eñ
shaam savere kā tū mālik
aur añdhere kā tū mālik
sub.h bhī tujh se shaam bhī tujh se
hai in kā anjām bhī tujh se
jaise din rāhat se guzrā
guzre yuuñ hī raat bhī maulā
naam tirā maiñ le kar jāgūñ
khā.ūñ piyūñ aur dauḌūñ bhāgūñ
khelūñ kūdūñ aur paḌhūñ maiñ
shaad rahūñ ābād rahūñ maiñ
sham hui aur suraj Duba
raat ne apna KHema Dala
dhup kahan ab hai andhiyara
saman hai ThanDa pyara pyara
din bhar KHub paDhe aur khele
dekhe is duniya ke mele
yaad karo sab din ki baaten
kya kya kaam kiye the din mein
kis ko mara kis ko luTa
laDne mein kis ka sar phuTa
kaam kiya hai nek bhi koi
tum ne dua li ek bhi koi
nek agar kuchh kaam kiya hai
to samjho ye din achchha hai
mango apne rab se duaen
ya-rab sar se Tal balaen
sham sawere ka tu malik
aur andhere ka tu malik
subh bhi tujh se sham bhi tujh se
hai in ka anjam bhi tujh se
jaise din rahat se guzra
guzre yun hi raat bhi maula
nam tera main le kar jagun
khaun piyun aur dauDun bhagun
khelun kudun aur paDhun main
shad rahun aabaad rahun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.