raat ke aks-e-taḳhayyul se mulāqāt ho jis kā maqsūd
kabhī darvāze se aatā hai kabhī khiḌkī se
aur har baar na.e bhes meñ dar aatā hai
us ko ik shaḳhs samajhnā to munāsib hī nahīñ
vo tasavvur meñ mire aks hai har shaḳhs kā har insāñ kā
kabhī bhar letā hai ik bholī sī mahbūba-e-nādān kā bahrūp kabhī
ek chālāk jahāñ-dīda o be-bāk sitam-gar ban kar
dhokā dene ke liye aatā hai bahkātā hai
aur jab vaqt guzar jaa.e to chhup jaatā hai
mirī āñkhoñ meñ magar chhāyā hai bādal ban kar
ek dīvār kā rauzan isī rauzan se nikal kar kirneñ
mirī āñkhoñ se lipaTtī haiñ machal uThtī haiñ
ārzueñ dil-e-ġham-dīda ke āsūda nihāñ-ḳhāne se
aur maiñ sochtā huuñ nuur ke is parde meñ
kaun be-bāk hai aur bholī sī mahbūba kaun
soch ko rok hai dīvār kī vo kaise chale
kaise jā pahuñche kisī ḳhalvat-e-mahjūb ke maḳhmūr sanam-ḳhāne meñ
vo sanam-ḳhāna jahāñ baiThe haiñ do but ḳhāmosh
aur nigāhoñ se har ik baat kahe jaate haiñ
zehn ko un ke dhundalke ne banāyā hai ik aisā akkās
jo faqat apne hī man-māne manāzir ko giraftār kare
maiñ khaḌā dekhtā huuñ sochtā huuñ jab donoñ
chhoḌ kar dil ke sanam-ḳhāne ko ghar jā.eñge
sehn meñ talḳh haqīqat ko khaḌā pā.eñge
ek sochegā mirī jeb ye duniyā ye samāj
ek dekhegā vahāñ aur hī tayyārī hai
mujh ko uljhan hai ye kyuuñ maiñ to nahīñ huuñ maujūd
raat kī ḳhalvat-e-mahjūb ke maḳhmūr sanam-ḳhāne meñ
mirī āñkhoñ ko nazar aatā hai rauzan kā dhuāñ
aur dil kahtā hai ye dūd-e-dil-e-soḳhta hai
ek ghanghor sukūñ ek kaḌī tanhā.ī
merā andoḳhta hai
mujh ko kuchh fikr nahīñ aaj ye duniyā miT jaa.e
mujh ko kuchh fikr nahīñ aaj ye be-kār samāj
apnī pābandī se dam ghuT ke fasāna ban jaa.e
mirī āñkhoñ meñ to markūz hai rauzan kā samāñ
apnī hastī ko tabāhī se bachāne ke liye
maiñ isī rauzan-e-be-rañg meñ ghus jā.ūñgā
lekin aise to vahī but na kahīñ ban jā.ūñ
jo nigāhoñ se har ik baat kahe jaatā hai
chhoḌ kar jis ko sanam-ḳhāne kī mahjūb fazā
ghar ke bebāk alamnāk siyah-ḳhāne meñ
ārzūoñ pe sitam dekhnā hai ghulnā hai
maiñ to rauzan meñ nahīñ jā.ūñgā duniyā miT jaa.e
aur dam ghuT ke fasāna ban jaa.e
sañg-dil ḳhuun sukhātī huī be-kār samāj
maiñ to ik dhyān kī karvaT le kar
ishq ke tā.ir-e-āvāra kā bahrūp bharūñgā pal meñ
aur chalā jā.ūñgā us jañgal meñ
jis meñ tū chhoḌ ke ik qalb-e-fasurda ko akele chal dī
rāsta mujh ko nazar aa.e na aa.e phir kyā
an-ginat peḌoñ ke mīnāroñ ko
maiñ to chhūtā hī chalā jā.ūñgā
aur phir ḳhatm na hogī ye talāsh
justujū rauzan-e-dīvār kī marhūn nahīñ ho saktī
maiñ huuñ āzād mujhe fikr nahīñ hai koī
ek ghanghor sukūñ ek kaḌī tanhā.ī
mirā andoḳhta hai
raat ke aks-e-taKHayyul se mulaqat ho jis ka maqsud
kabhi darwaze se aata hai kabhi khiDki se
aur har bar nae bhes mein dar aata hai
us ko ek shaKHs samajhna to munasib hi nahin
wo tasawwur mein mere aks hai har shaKHs ka har insan ka
kabhi bhar leta hai ek bholi si mahbuba-e-nadan ka bahrup kabhi
ek chaalak jahan-dida o be-bak sitam-gar ban kar
dhoka dene ke liye aata hai bahkata hai
aur jab waqt guzar jae to chhup jata hai
meri aankhon mein magar chhaya hai baadal ban kar
ek diwar ka rauzan isi rauzan se nikal kar kirnen
meri aankhon se lipaTti hain machal uThti hain
aarzuen dil-e-gham-dida ke aasuda nihan-KHane se
aur main sochta hun nur ke is parde mein
kaun be-bak hai aur bholi si mahbuba kaun
soch ko rok hai diwar ki wo kaise chale
kaise ja pahunche kisi KHalwat-e-mahjub ke maKHmur sanam-KHane mein
wo sanam-KHana jahan baiThe hain do but KHamosh
aur nigahon se har ek baat kahe jate hain
zehn ko un ke dhundalke ne banaya hai ek aisa akkas
jo faqat apne hi man-mane manazir ko giraftar kare
main khaDa dekhta hun sochta hun jab donon
chhoD kar dil ke sanam-KHane ko ghar jaenge
sehn mein talKH haqiqat ko khaDa paenge
ek sochega meri jeb ye duniya ye samaj
ek dekhega wahan aur hi tayyari hai
mujh ko uljhan hai ye kyun main to nahin hun maujud
raat ki KHalwat-e-mahjub ke maKHmur sanam-KHane mein
meri aankhon ko nazar aata hai rauzan ka dhuan
aur dil kahta hai ye dud-e-dil-e-soKHta hai
ek ghanghor sukun ek kaDi tanhai
mera andoKHta hai
mujh ko kuchh fikr nahin aaj ye duniya miT jae
mujh ko kuchh fikr nahin aaj ye be-kar samaj
apni pabandi se dam ghuT ke fasana ban jae
meri aankhon mein to markuz hai rauzan ka saman
apni hasti ko tabahi se bachane ke liye
main isi rauzan-e-be-rang mein ghus jaunga
lekin aise to wahi but na kahin ban jaun
jo nigahon se har ek baat kahe jata hai
chhoD kar jis ko sanam-KHane ki mahjub faza
ghar ke bebak alamnak siyah-KHane mein
aarzuon pe sitam dekhna hai ghulna hai
main to rauzan mein nahin jaunga duniya miT jae
aur dam ghuT ke fasana ban jae
sang-dil KHun sukhati hui be-kar samaj
main to ek dhyan ki karwaT le kar
ishq ke tair-e-awara ka bahrup bharunga pal mein
aur chala jaunga us jangal mein
jis mein tu chhoD ke ek qalb-e-fasurda ko akele chal di
rasta mujh ko nazar aae na aae phir kya
an-ginat peDon ke minaron ko
main to chhuta hi chala jaunga
aur phir KHatm na hogi ye talash
justuju rauzan-e-diwar ki marhun nahin ho sakti
main hun aazad mujhe fikr nahin hai koi
ek ghanghor sukun ek kaDi tanhai
mera andoKHta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.