sham meri kamzori hai
mat pūchh ye mujh se dost mire
kyuuñ shaam Dhale in āñkhoñ meñ
be-nām sī ek udāsī kī
ghanghor ghaTā.eñ rahtī haiñ
kyuuñ be-ḳhud ho kar is lamhe
Dhaltā huā sūraj taktā huuñ
āñkhoñ meñ kisī kā aks liye
kyuuñ badan kitābeñ taktā huuñ
mat pūchh ye vaqt hī aisā hai
mujhe dil par zor nahīñ rahtā
maiñ laakh chhupātā huuñ lekin
ashkoñ ko rok nahīñ saktā
ik qarz chukāne kī ḳhātir
ye kuchh lamhoñ kī chorī hai
bas yūñhī samajh le yaar mire
ye shaam mirī kamzorī hai
mat puchh ye mujh se dost mere
kyun sham Dhale in aankhon mein
be-nam si ek udasi ki
ghanghor ghaTaen rahti hain
kyun be-KHud ho kar is lamhe
Dhalta hua suraj takta hun
aankhon mein kisi ka aks liye
kyun badan kitaben takta hun
mat puchh ye waqt hi aisa hai
mujhe dil par zor nahin rahta
main lakh chhupata hun lekin
ashkon ko rok nahin sakta
ek qarz chukane ki KHatir
ye kuchh lamhon ki chori hai
bas yunhi samajh le yar mere
ye sham meri kamzori hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.