sham-o-sahar
kyā mausam-e-gul hai ki yahāñ phuul nahīñ
kāñTe dar-o-dīvār kī zīnat dar-o-dīvār pe raqsāñ
har gul kī mahak tere mire ḳhuuñ kī mahak hai
insān ke ranjīda dil-o-jāñ kī kasak hai
har shāḳh kī mehrāb pe haiñ ḳhuun ke chhīñTe
pyāse ḳhas-o-ḳhāshāk taḌapte haiñ shab-o-roz
shabnam kī ziyā-bār damaktī huī paa.el
ojhal hai nigah se
koyal kī koī kuuk na raushan koī naġhma
har kūcha-e-ehsās meñ golī kī azaañ hai
bam aslaha aur bārūd ke chole pahan kar
ham sar-phire tahzīb-o-tamaddun ke liye
haiñ gasht meñ aise
jaise ki ye bam aur bārūd
hoñ sab hī masā.il kā hal
jaise hoñ yahī azmat-e-insāñ ke muhāfiz
jaise ki mire amn-o-amāñ
ho in ke karam par
jaise ki mire bāġh-e-bahārāñ kī hifāzat
ho in kī ināyat
jaise ki hasīñ phūloñ kī ismat ke liye
ab mausam-e-gul meñ bhī
golī bam aur bandūq
ho ne.amat
kya mausam-e-gul hai ki yahan phul nahin
kanTe dar-o-diwar ki zinat dar-o-diwar pe raqsan
har gul ki mahak tere mere KHun ki mahak hai
insan ke ranjida dil-o-jaan ki kasak hai
har shaKH ki mehrab pe hain KHun ke chhinTe
pyase KHas-o-KHashak taDapte hain shab-o-roz
shabnam ki ziya-bar damakti hui pael
ojhal hai nigah se
koyal ki koi kuk na raushan koi naghma
har kucha-e-ehsas mein goli ki azan hai
bam aslaha aur barud ke chole pahan kar
hum sar-phire tahzib-o-tamaddun ke liye
hain gasht mein aise
jaise ki ye bam aur barud
hon sab hi masail ka hal
jaise hon yahi azmat-e-insan ke muhafiz
jaise ki mere amn-o-aman
ho in ke karam par
jaise ki mere bagh-e-bahaaran ki hifazat
ho in ki inayat
jaise ki hasin phulon ki ismat ke liye
ab mausam-e-gul mein bhi
goli bam aur banduq
ho neamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.