sham
sūraj Duubā huā añdherā
chiḌiyāñ lene lagīñ baserā
din kā ġhā.eb huā ujālā
tārīkī ne parda Daalā
jalne lage diye ghar ghar meñ
girjā masjid aur mandar meñ
puujā meñ hai dhyān meñ koī
khāne ke sāmān meñ koī
charḳh-e-barīñ par chamke taare
be-roġhan haiñ raushan saare
halkā halkā nuur hai in kā
bastī se ghar duur hai in kā
bachche niiñd meñ ġhāfil ho ga.e
lorī sunte sunte so ga.e
jangal se ghar gvāle aa.e
revaḌ apnā sañbhāle aa.e
jā pahuñche mazdūr gharoñ meñ
ḳhush ḳhush haiñ biivī bachchoñ meñ
din bhar kab ārām liyā hai
ḳhuun pasīna ek kiyā hai
shaam ne dī hai kaam se fursat
dam lene kī milī hai mohlat
ab so.eñge lambī taane
mehnat lagegī ḳhuub Thikāne
manzil par rahrav jā pahuñche
haare thake niiñd ke maate
kisht-o-chaman sunsān paḌe haiñ
ḳhālī ab maidān paḌe haiñ
pahlā sā ġhul shor kahāñ hai
dauḌ dhuup kā zor kahāñ hai
mā.il-e-rāhat huā zamāna
ḳhatm huā din kā afsāna
chahal-pahal do-chār ghaḌī hai
sab ke sirhāne niiñd khaḌī hai
suraj Duba hua andhera
chiDiyan lene lagin basera
din ka ghaeb hua ujala
tariki ne parda Dala
jalne lage diye ghar ghar mein
girja masjid aur mandar mein
puja mein hai dhyan mein koi
khane ke saman mein koi
charKH-e-barin par chamke tare
be-roghan hain raushan sare
halka halka nur hai in ka
basti se ghar dur hai in ka
bachche nind mein ghafil ho gae
lori sunte sunte so gae
jangal se ghar gwale aae
rewaD apna sanbhaale aae
ja pahunche mazdur gharon mein
KHush KHush hain biwi bachchon mein
din bhar kab aaram liya hai
KHun pasina ek kiya hai
sham ne di hai kaam se fursat
dam lene ki mili hai mohlat
ab soenge lambi tane
mehnat lagegi KHub Thikane
manzil par rahraw ja pahunche
haare thake nind ke mate
kisht-o-chaman sunsan paDe hain
KHali ab maidan paDe hain
pahla sa ghul shor kahan hai
dauD dhup ka zor kahan hai
mail-e-rahat hua zamana
KHatm hua din ka afsana
chahal-pahal do-chaar ghaDi hai
sab ke sirhane nind khaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.