shana-ba-shana
mujhe kuchh nahīñ ma.alūm kyā chāhtī ho tum mujh se
mere paas hai kyā jo maiñ de saktā huuñ kisī ko
tabl-o-alam hai paas apne na mulk-o-māl
aur phir koī bahut ḳhaas chiiz hī honī chāhiye tumheñ nazar karne ko to
kyā nahīñ hai tumhāre paas pahle se
husn aisā ki ḳhudā bhī ḳhush ho gayā hogā tumheñ banā kar
raunaq sī lag jaatī hai baiTh jaatī ho jahāñ
chaltī ho to saath chaleñ sarv-o-sanobar
uupar se paayā hai zehn-e-rasā
maiñ to azal se martā aayā huuñ husn aur dānish ke imtizāj par
mahz ḳhūb-sūrat aurat kabhī na lubhā sakī mujhe
na hī muta.assir kar sakī mujhe kam-shakl dānish-varī
maiñ aksar kahtā huuñ tum meñ ḳhudā ne jam.a kar diye haiñ chāñd aur sūraj
dāstānoñ se māvarā chande āftāb chande mahtāb koī hai to tum
aur phir tumhārī āvāz
pattharoñ ko pighlā dene vaalā gudāz hai is meñ
boltī ho to charāġh se jal uThte haiñ mahfil meñ
kyuuñ sharminda kartī ho ye kah kar mujhe ki tumheñ zarūrat hai merī
yaad aayā ek roz kahā thā tum ne
har kisī ko ek shāna chāhiye jis par sar rakh ke ro sake vo
aur fikr na ho ki mazāq uḌāyā jā.egā is kā yā banāyā jā.egā is baat kā batañgaḌ
lekin merī jaan aisā kaun sā dikh hai jo naubat aa ga.ī rone kī
kyā kahte haiñ ro.eñ tumhāre dushman
go maiñ tumhārā dushman nahīñ lekin maiñ jo huuñ rone ke liye
mere shāne par sar rakh kar roiiñ agar tum
to tumhāre aañsū na poñchh sakūñgā maiñ
maiñ to ḳhud bah jā.ūñgā āñsuoñ meñ
mujhe to is ḳhayāl hī se ronā aa rahā hai ki tumhārī āñkhoñ meñ bhare hoñ aañsū
tumheñ sach-much rotā dekh kar kyā haal hogā merā
haañ ek sūrat ho saktī hai albatta
tum ro lo mere shāne par sar rakh kar
aur maiñ ro luuñ tumhāre shāne par sar rakh kar
kyā ye mumkin hai
shāna-ba-shāna
mujhe kuchh nahin malum kya chahti ho tum mujh se
mere pas hai kya jo main de sakta hun kisi ko
tabl-o-alam hai pas apne na mulk-o-mal
aur phir koi bahut KHas chiz hi honi chahiye tumhein nazar karne ko to
kya nahin hai tumhaare pas pahle se
husn aisa ki KHuda bhi KHush ho gaya hoga tumhein bana kar
raunaq si lag jati hai baiTh jati ho jahan
chalti ho to sath chalen sarw-o-sanobar
upar se paya hai zehn-e-rasa
main to azal se marta aaya hun husn aur danish ke imtizaj par
mahz KHub-surat aurat kabhi na lubha saki mujhe
na hi mutassir kar saki mujhe kam-shakl danish-wari
main aksar kahta hun tum mein KHuda ne jama kar diye hain chand aur suraj
dastanon se mawara chande aaftab chande mahtab koi hai to tum
aur phir tumhaari aawaz
pattharon ko pighla dene wala gudaz hai is mein
bolti ho to charagh se jal uThte hain mahfil mein
kyun sharminda karti ho ye kah kar mujhe ki tumhein zarurat hai meri
yaad aaya ek roz kaha tha tum ne
har kisi ko ek shana chahiye jis par sar rakh ke ro sake wo
aur fikr na ho ki mazaq uDaya jaega is ka ya banaya jaega is baat ka batangaD
lekin meri jaan aisa kaun sa dikh hai jo naubat aa gai rone ki
kya kahte hain roen tumhaare dushman
go main tumhaara dushman nahin lekin main jo hun rone ke liye
mere shane par sar rakh kar roin agar tum
to tumhaare aansu na ponchh sakunga main
main to KHud bah jaunga aansuon mein
mujhe to is KHayal hi se rona aa raha hai ki tumhaari aankhon mein bhare hon aansu
tumhein sach-much rota dekh kar kya haal hoga mera
han ek surat ho sakti hai albatta
tum ro lo mere shane par sar rakh kar
aur main ro lun tumhaare shane par sar rakh kar
kya ye mumkin hai
shana-ba-shana
- Book : din kaa phool (Pg. 138)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.