''vo jhuk ke zamīñ par
baġhloñ meñ de kar haath hamārī
ham ko uThātā hai
tāroñ tak laatā hai
phir haath haTā kar
ham ko girne chhoḌtā hai
sard o tārīk ḳhalāoñ meñ
shāyad us kī ye ḳhvāhish hotī hai
ham apne donoñ baazū lahrā.eñ
aur uupar uThte jaa.eñ
hattā ki
tanhā.ī ke abad meñ us ke dāḳhil hoñ
aur haath baḌhā kar
kāñptī poroñ se apnī
us ke ġhamgīñ chehre ko chhū leñ''
wo jhuk ke zamin par
baghlon mein de kar hath hamari
hum ko uThata hai
taron tak lata hai
phir hath haTa kar
hum ko girne chhoDta hai
sard o tarik KHalaon mein
shayad us ki ye KHwahish hoti hai
hum apne donon bazu lahraen
aur upar uThte jaen
hatta ki
tanhai ke abad mein us ke daKHil hon
aur hath baDha kar
kanpti poron se apni
us ke ghamgin chehre ko chhu len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.