shayad ki bahaar aai
shayad ki bahaar aai
Syed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
MORE BYSyed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
āh-e-dil-e-muztar kī tāsīr nazar aa.ī
kyā ḳhvāb-e-mohabbat kī ta.abīr nazar aa.ī
barbādī-e-insāñ kī tasvīr nazar aa.ī
tahzīb ke qur.ān kī tafsīr nazar aa.ī
shāyad ki bahār aa.ī
jāñbāz-e-mohabbat ko kyā husn kā manshā hai
jiine kī ijāzat hai marne kā ishārā hai
iz.hār-e-haqīqat par ta.azīr kā dhaḌkā hai
phir tauq nazar aaya zanjīr nazar aa.ī
phir joshish-e-vahshat ne kī silsila-jumbānī
phir vaqt kī maujeñ haiñ āmāda-e-tuġhyānī
phir husn ko sūjhī hai kyā mashq-e-sitam-rānī
nāzuk sī kalā.ī meñ shamshīr nazar aa.ī
tahzīb-o-tamaddun kā ulTā hai varaq 'qaisar'
hiltā hai dil-e-gītī larzāñ haiñ tabaq 'qaisar'
insāñ kā lahū piine phūlī hai shafaq qaisar
ab vaqt ke māthe kī tahrīr nazar aa.ī
shāyad ki bahār aa.ī
aah-e-dil-e-muztar ki tasir nazar aai
kya KHwab-e-mohabbat ki tabir nazar aai
barbaadi-e-insan ki taswir nazar aai
tahzib ke quran ki tafsir nazar aai
shayad ki bahaar aai
jaanbaz-e-mohabbat ko kya husn ka mansha hai
jine ki ijazat hai marne ka ishaara hai
izhaar-e-haqiqat par tazir ka dhaDka hai
phir tauq nazar aaya zanjir nazar aai
phir joshish-e-wahshat ne ki silsila-jumbani
phir waqt ki maujen hain aamada-e-tughyani
phir husn ko sujhi hai kya mashq-e-sitam-rani
nazuk si kalai mein shamshir nazar aai
tahzib-o-tamaddun ka ulTa hai waraq 'qaisar'
hilta hai dil-e-giti larzan hain tabaq 'qaisar'
insan ka lahu pine phuli hai shafaq qaisar
ab waqt ke mathe ki tahrir nazar aai
shayad ki bahaar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.