shayad ki bahaar aai
baiThe baiThe safedī pe tārīḳhī kirnoñ kā gherā khulā
lambī shāḳhoñ ke saa.e zamīñ par gire
saañs meñ purza purza huā
baas ban kar khulī
mere kamre kī khiḌkī se bāhar bahār aa ga.ī
yā shāyad thakan aur añdhere meñ karvaT badalte hue
maiñ ne sapne meñ dekhā
bahār aa ga.ī
ek bhūle hue saal ke chāñd kī raushnī
mere hāthoñ pe hai
aise alfāz jaise mohabbat badan
ruuh aur dil kī pahnā.iyāñ
aise alfāz bhī jaise
ghar rāsta manzileñ
ūñche ūñche daraḳhtoñ ke patte
hamesha hamesha tar-o-tāza sabza
meñ bīmār huuñ mere hāthoñ meñ ra.asha hai
Tāñgoñ se pinjar udhaḌtā chalā jā rahā hai
yahāñ kaun dekhe
zamāne kā andher
āñkhoñ meñ pighlī huī faal
din aage pīchhe haiñ tālāb meñ bachche paanī uḌāte haiñ jaise
phisalte haiñ mauhūm mauhūm
kabhī ūñghte meñ vo saare manāzir
jo dāman ko khole hue mere pahlū meñ haiñ
mere hāthoñ se gir jaate haiñ
ek jhoñkā kitāboñ ke aurāq meñ
raat bhar jāgtā hai
raat bhar niiñd halkore detī hai
bistar pe leTā huuñ kitne hī bistar qatāroñ meñ aage
bichhe haiñ
maiñ har ek bistar pe leTā huuñ
dinoñ ke sahāre
maiñ maazī kī railing se lag kar khaḌā
lambe hāthoñ kī larzish se
is ke badan ko havā kī tarah chhū ke aage nikal jaatā huuñ
itnī sadiyoñ kī galiyoñ meñ raqsā barahna
jo maiñ huuñ
nahīñ huuñ
baiThe baiThe safedi pe tariKHi kirnon ka ghera khula
lambi shaKHon ke sae zamin par gire
sans mein purza purza hua
bas ban kar khuli
mere kamre ki khiDki se bahar bahaar aa gai
ya shayad thakan aur andhere mein karwaT badalte hue
main ne sapne mein dekha
bahaar aa gai
ek bhule hue sal ke chand ki raushni
mere hathon pe hai
aise alfaz jaise mohabbat badan
ruh aur dil ki pahnaiyan
aise alfaz bhi jaise
ghar rasta manzilen
unche unche daraKHton ke patte
hamesha hamesha tar-o-taza sabza
mein bimar hun mere hathon mein rasha hai
Tangon se pinjar udhaDta chala ja raha hai
yahan kaun dekhe
zamane ka andher
aankhon mein pighli hui fal
din aage pichhe hain talab mein bachche pani uDate hain jaise
phisalte hain mauhum mauhum
kabhi unghte mein wo sare manazir
jo daman ko khole hue mere pahlu mein hain
mere hathon se gir jate hain
ek jhonka kitabon ke auraq mein
raat bhar jagta hai
raat bhar nind halkore deti hai
bistar pe leTa hun kitne hi bistar qataron mein aage
bichhe hain
main har ek bistar pe leTa hun
dinon ke sahaare
main mazi ki railing se lag kar khaDa
lambe hathon ki larzish se
is ke badan ko hawa ki tarah chhu ke aage nikal jata hun
itni sadiyon ki galiyon mein raqsa barahna
jo main hun
nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.