shayad
kuchh der ko
purse kañdhe se utāro
gaaḌī kī chābī
itnī hifāzat se rakho
ki DhūñDne meñ vaqt lage
majbūran ruknā paḌe
aao
in lamhoñ meñ ghar kar leñ
vo jo tum ko na kar sakeñ
aaj kar Daalo
barsoñ ke ḳhvāb
dimāġh jo ek lamha meñ
ḳhvāb kartā hai
haqīqat kar Daalo
in.aam meñ jo mile
kokh meñ sadiyoñ baad
janm dene ko chhupā rakhnā
aane vaale vaqtoñ meñ
shāyad ham
sirf ajā.ib gharoñ meñ mileñ
kuchh der ko
purse kandhe se utaro
gaDi ki chabi
itni hifazat se rakho
ki DhunDne mein waqt lage
majburan rukna paDe
aao
in lamhon mein ghar kar len
wo jo tum ko na kar saken
aaj kar Dalo
barson ke KHwab
dimagh jo ek lamha mein
KHwab karta hai
haqiqat kar Dalo
inam mein jo mile
kokh mein sadiyon baad
janm dene ko chhupa rakhna
aane wale waqton mein
shayad hum
sirf ajaib gharon mein milen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.