shayad yahi bahattar ho
jab koī ham se duur ho jaatā hai
to ham use bhuul jaate haiñ
us kī jagah
ek ḳhudā taḳhlīq kar lete haiñ
yādoñ ke mandir meñ
ek mūrtī khaḌī kar dete haiñ
phir us kī puujā karne lagte haiñ
aur bhuul jaate haiñ
ki kabhī ye bhagvān
insān bhī thā
maiñ ne bhī tumhāre saath
yahī kiyā hai
agar tum kabhī mujhe vāpas mil ga.e
to mere ḳhvāb
aur maiñ ḳhud
pāra-pāra ho jā.eñge
shāyad
yahī behtar ho
ki tum mujhe
kabhī na mil sako
jab koi hum se dur ho jata hai
to hum use bhul jate hain
us ki jagah
ek KHuda taKHliq kar lete hain
yaadon ke mandir mein
ek murti khaDi kar dete hain
phir us ki puja karne lagte hain
aur bhul jate hain
ki kabhi ye bhagwan
insan bhi tha
main ne bhi tumhaare sath
yahi kiya hai
agar tum kabhi mujhe wapas mil gae
to mere KHwab
aur main KHud
para-para ho jaenge
shayad
yahi behtar ho
ki tum mujhe
kabhi na mil sako
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.