shab Dub gai
phir ghor amāvas
raat meñ koī
diip jalā
ik dhīme dhīme
sannāTe meñ
phuul hilā
koī bhed khulā
aur bosīda
dīvār pe baiThī
yaad hañsī
ik huuk uThī
ik pattā TuuTā
sarsar kartī Tahnī se
ik ḳhvāb girā
aur kāñch kī
darzoñ se
kirnoñ kā
jaal uThā
kuchh lamhe sarke
tāroñ kī
zanjīr hilī
shab Duub ga.ī
phir ghor amawas
raat mein koi
dip jala
ek dhime dhime
sannaTe mein
phul hila
koi bhed khula
aur bosida
diwar pe baiThi
yaad hansi
ek huk uThi
ek patta TuTa
sarsar karti Tahni se
ek KHwab gira
aur kanch ki
darzon se
kirnon ka
jal uTha
kuchh lamhe sarke
taron ki
zanjir hili
shab Dub gai
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 22)
- Author : Gulnaz Kausar
- Publication : Matboaat Harf Kaar, Lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.