shab-e-aKHir
koī dastak musalsal hai kahīñ hai mustaqil aahaT
havā kā shor hai shāyad
kabhī mahsūs hotā hai sunahre ḳhushk pattoñ meñ se guzrā saañp kā joḌā
parinda koī sahmā hai
fazā meñ sarsarāhaT hai
mire andar bhaTaktī hai koī āvāz yā shāyad
bulātīñ haiñ mujhe us dam bichhaḌne vāloñ kī yādeñ
vo jin par zindagī ik ḳhauf kī sūrat musallat hai
kabhī ke haar ke yā zindagī se ruuTh baiThe jo
kabhī yuuñ lagtā hai jaise kisī tārīk bastī meñ
chalī āñdhī
qazā aa.ī
ajal shāyad mirī khiḌkī talak bistar talak aa.ī
sitāre Dūbne ko haiñ
añdherā bain kartā hai
ḳhudāyā niiñd kā ġhalba
diye kī lau bhaḌaktī hai
bujhā kar āḳhirī lamha
koi dastak musalsal hai kahin hai mustaqil aahaT
hawa ka shor hai shayad
kabhi mahsus hota hai sunahre KHushk patton mein se guzra sanp ka joDa
parinda koi sahma hai
faza mein sarsarahaT hai
mere andar bhaTakti hai koi aawaz ya shayad
bulatin hain mujhe us dam bichhaDne walon ki yaaden
wo jin par zindagi ek KHauf ki surat musallat hai
kabhi ke haar ke ya zindagi se ruTh baiThe jo
kabhi yun lagta hai jaise kisi tarik basti mein
chali aandhi
qaza aai
ajal shayad meri khiDki talak bistar talak aai
sitare Dubne ko hain
andhera bain karta hai
KHudaya nind ka ghalba
diye ki lau bhaDakti hai
bujha kar aaKHiri lamha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.