shab-e-hijr koi kahan gaya
tujhe yaad hai sabhī jāñ-ba-lab tire rāstoñ meñ khaḌe rahe
ki dam-e-vidā.a tujhe dekh leñ
kahīñ jholiyāñ thiiñ khulī huī
kahīñ chashm chashm ajiib rañgoñ kā raqs thā
koī ḳhvāb thā koī aks thā
tujhe yaad hai to batā mujhe
pas-e-shām-e-shahr havā-e-dahr ko kyā huā
shab-e-hijr koī kahāñ gayā
maiñ uThā jo bistar-e-ḳhvāb se
to koī na thā mire chār-sū
jo batā sake
jo gavāh ho
sar-e-bām kis kī nazar bujhī
pas-e-shām kis kā lahū jalā
tujhe yaad hai sabhi jaan-ba-lab tere raston mein khaDe rahe
ki dam-e-widaa tujhe dekh len
kahin jholiyan thin khuli hui
kahin chashm chashm ajib rangon ka raqs tha
koi KHwab tha koi aks tha
tujhe yaad hai to bata mujhe
pas-e-sham-e-shahr hawa-e-dahr ko kya hua
shab-e-hijr koi kahan gaya
main uTha jo bistar-e-KHwab se
to koi na tha mere chaar-su
jo bata sake
jo gawah ho
sar-e-baam kis ki nazar bujhi
pas-e-sham kis ka lahu jala
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 495)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.