shab-e-naghma
aag uglī hai ki barsā.e haiñ phuul
jaam khankā.e haiñ kitne bāham
vajd meñ jism bhī hai ruuh bhī hai
aañkh ke saath machalte haiñ dil
rūh-e-mausīqī mushaḳhḳhas goyā
ḳhud muġhannī pe ġhinā kā hai gumāñ
dūdhiyā jism sunahrī poshāk
nūr-e-mahtāb se uThtā hai dhuāñ
phail jaatā hai fazāoñ meñ vahī
naġhma-o-lahn kī ḳhushbū ban kar
ḳhud hai maḳhmūr har āhang-o-adā
ḳhud tamāshā bhī tamāshā.ī hai
hai kisī kohna parī-zād kī ruuh
pa.e-gul-gasht jo aaj aa.ī hai
biis sadiyoñ se thī āsūda-e-ḳhvāb
jaagī hai naġhme kā jaadū ban kar
niim kā qalb nazāre se do-nīm
sāz-o-āvāz meñ sadiyoñ kā ḳhumār
naġhma-o-nūr se shab hai bedār
hama-tan-gosh hai zarra zarra
kaun hai jo hama-tan saaz nahīñ
kis jagah dost kī āvāz nahīñ
aag ugli hai ki barsae hain phul
jam khankae hain kitne baham
wajd mein jism bhi hai ruh bhi hai
aankh ke sath machalte hain dil
ruh-e-mausiqi mushaKHKHas goya
KHud mughanni pe ghina ka hai guman
dudhiya jism sunahri poshak
nur-e-mahtab se uThta hai dhuan
phail jata hai fazaon mein wahi
naghma-o-lahn ki KHushbu ban kar
KHud hai maKHmur har aahang-o-ada
KHud tamasha bhi tamashai hai
hai kisi kohna pari-zad ki ruh
pae-gul-gasht jo aaj aai hai
bis sadiyon se thi aasuda-e-KHwab
jagi hai naghme ka jadu ban kar
nim ka qalb nazare se do-nim
saz-o-awaz mein sadiyon ka KHumar
naghma-o-nur se shab hai bedar
hama-tan-gosh hai zarra zarra
kaun hai jo hama-tan saz nahin
kis jagah dost ki aawaz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.